47:28maulana, agla sawal bhi chennai se hai. maulana israr hasan sahib ka, unhon ne likha hai: "divine civilization se murad kya hai? kya sari dunya musalman ho jaye gi ya islam ke liye azadi hogi?" islam ke liye azadi? sari dunya musalman ho jaye gi? yeh allah ke scheme ke khilaf hai, kyunke sab ko azadi de rakhi hai. to kaha: "jab tak insan ki azadi ko abalsh na kiya jaye, kaise aisa hoga ke sari dunya mein bhi islam ki hukumat qaim ho jaye?" to mumkin hi nahi hai.
48:01yeh to musalmanon ke khud sakhta nazariyat hain. sari dunya mein musalmanon ki hukumat qaim hona aur sari dunya mein sab high collection musalman ho jaye ga, yeh sab bilkul khud sakhta nazariyat hain. kyunke yahan to فَالْفَرْشَاءَ فَالْيُؤْمَنِ فَالْمَنْشَاءَ yeh qurb ka mahol hai. aur cheez yeh hai ke aik fard ya kuch log jo chahein islam pe amal karna, islam ki dawat dena, islam ke aala haqaiq se apne andar maarfat paida karna waghera waghera, un ke liye poori azadi ho. to divine, yaani is se pehle jab ke yeh daur nahi aya tha, in sab ko mawaqe nahi thay logon ko.
48:52ab mawaqe khul gaye. to kya yeh mawaqe khulne ke mani mein hai, yeh na ke aalami hukumat qaim karne ke mani mein? maulana, agla sawal lene se pehle aik comment parhna chahein ge jo mehtab ahmad sahib ne bheja hai dhampur se.