49:04maulana, agla sawal lene se pehle aik comment parhna chahein ge jo mehtab ahmad sahib ne bheja hai dhampur se. unhon ne likha hai: maulana sahib, your lecture every time gives me knowledge. mehtab sahib, dhampur. agla sawal maulana. maulana yaqoob umri ka, gulbergah se. unhon ne likha hai: maulana, aaj religious persecution hai ya religious confusion? is ki wazahat karen. woh dono hain.
49:35persecution hota tha hukumat ki taraf se, woh khatm ho gaya. aur confusion to ab aap ka apna mamla hai, is ka hukumat se koi talluq nahi hai. religious persecution jo tha, woh regime ki taraf se tha. yani jo hakim hua karte thay, un ki taraf se tha, woh khatm ho gaya. bohat confusion to aap ka apna zaati mamla hai. woh woh to rahega, woh to imtehan hai, woh to test ki baat hai. woh to test rahega. aap ko confusion ke parde ko phaar kar ke bahar aana hai.
50:14quran mein dekhiye, yeh hai ke wa laa albasna 'alayhim ma yalbasoon yani hamesha is dunya mein iltibas rahega. iltibas ke ma'ni hain element of doubt. isi element of doubt ko hum kehte hain confusion. to element of doubt jo hai, woh to woh to hai test ki wajah se. woh to har aadmi ka apna kaam hai ke is ko is se bahar aaye. woh
50:41maulana, agla sawal bhopal se hai, anwar sahib ka. unhon ne aap se poocha hai: maulana sahib, aap ne haal hi mein english magazine "spirit of islam" launch ki hai, is ka maqsad kya hai?