Obligatory knowledge for success in both worlds
“Sir, first tell us how many types of knowledge are there. Which knowledge has God made obligatory upon man—curricular knowledge or Quranic knowledge? What knowledge should a person acquire so that both this world and the Hereafter are set right?”Asked by Mr. Nafees Shiraz, Delhi
He answers at 1:09:06 in From The Spiritual Tree · 2 min 21 sec
1:09:06maulana, agla sawal mister nafees shiraz ne kiya hai dilli se. unhon ne likha hai ke "sir, pehle to bataen ilm kitne prakar ke hote hain? allah ne kaun sa ilm hasil karne ki zimmedari insan par aaid ki hai? nisabi ilm ya quran ka ilm? insan kaun sa ilm hasil kare ke jis se uski dunya o akhirat dono sanwar jayen?" yeh toh sawal ko, yani yeh koi is tarah ke jo sawal yahan hote hain, iski ek koi limitations hoti hain. samjhe aap?
1:09:45to main toh yeh kahunga ke aap study karna shuru kar dijiye. aap ko maloom ho jaye ke ilm kya hai. ji, study karna shuru kar dijiye. maloom ho jaye ilm kya hai. doosri baat yeh hai ke sawal karne ka tareeqa kya hai? woh bhi sun lijiye. hadith mein aata hai ke "nauhana inqasat sawal wal aqeel wal qaal". "nauhana inqasat sawal" hamein zyada sawal karne se mana kiya gaya hai. zyada sawal kya hai? dekhen, sahi sawal woh hai jo mera apna masla ho, uske bare mein pooche aadmi. aur masla kahin iran turan ka hai, us par hum poochen to woh sawal nahi hai.
1:10:29woh toh ek intellectual luxury hai. isi liye hadith ek sahabi kehte hain, ek sahabi ke "nauhana inqasat sawal" hamein mana kiya gaya hai zyada sawal karne se. zyada sawal ka matlab kya hai? mera personal matter hai, mera zaati masla hai to sawal karoon main. aur bas yun hi hawaai sawal karna, iran turan ki baaten karna, "there is not question". "there is intellectual luxury".
1:10:59to main yeh kahunga ke aadmi ko chahiye ke sab se pehle study kare, mutala kare, aur aur woh apne aap ko prepare kare, apne ko tayyar kare. sab sawal se pehle apne aap ko prepare karna parta hai. agar un prepared mind jo hoga, woh yeh bhi nahi jayega ke kya sawal kare, kya sawal na kare. un prepared mind jo hai, usko uski uski khabar nahi hoti. maulana, agla sawal mister arshad jamal ne kiya hai nai dilli se. unhon ne likha hai ke "ar fast is a ritual act rather than a spiritual act".