Meaning of Thanking People and God
“What is the meaning of "Lam yashkur al-nas, lam yashkur Allah"?”Asked by مولانا عبدالباسط عمری, دوحہ، قطر
He answers at 1:35:51 in From The Spiritual Tree · 3 min 22 sec
1:35:51maulana, agla sawal kya hai? ah maulana abdul basit omary ne doha, qatar se, unhone poocha hai ke "lam yashkur al-nas, lam yashkur al-allah" ka matlab kya hai? dekhen, yeh duniya mein aap ko jo cheezein milti hain, toh haqeeqi tor par toh khuda se milti hain, lekin majazi tor par insaan se hi milti hain. aap ko cheezein jaise ek glass ka pani hai, farz kijiye, kisi ilaqay mein usko diya hai toh majazi tor par dene wala woh insaan ban gaya.
1:36:29kahin se nikala pani, kahin se nikal ke us mein rakha pani, la ke mujhe de diya. lekin haqeeqi tor par toh khuda dene wale pani ko, khuda jisne do glasses ko mila ke pani banaya, toh majazi tor par insaan bhi dene wale hote hain, haqeeqi tor par khuda hai dene wala. toh hum ko yeh tajurba hota hai, insaan ko yeh tajurba bar bar pesh aata hai. toh agar aap rozmarra ke tajurbe mein insaan se jo mil raha hai, aap ko agarche majazi tor par mil raha hai, toh uska eteraf agar nahi karenge aap, toh aap ke andar shukr ki nafsiyaat nahi jagayegi. shukr ki nafsiyaat denge toh aap insaan ke baray mein nahi karenge, khuda ke baray mein nahi karenge. bhai, agar ek shakhs mujhe pani laya hai, kahin se, kahin se pani nikala, usne phir kahin rakha, usne phir kahin bottle mein phir la ke glass bhi liya, la ke yahan rakha, usne toh usne bhi toh kuch kiya,
1:37:27usne bhi toh kuch diya mujh ko. toh mujhe uska eteraf karna chahiye. shukr ke mani eteraf, acknowledge karna. toh insaan se yeh tajurbe mujhe ho rahe hain, aur agar mein iska acknowledge nahi kar raha hoon toh iska matlab ke mein apne andar woh nafsiyaat nahi paida kar raha hoon, eteraf wali nafsiyaat, acknowledge karne wali nafsiyaat. toh achaanak ek kaise mein badal jaunga jab khuda ka naam aayega? wohi nafsiyaat wahan bhi kaam karegi. yani insaanon ke darmiyan agar mein nashukr ban kar reh raha hoon toh is matlab ke nashukri ki nafsiyaat apne andar parvarish kar raha hoon. mein toh nashukri ki nafsiyaat wala aadmi jo hai, woh khuda ka bhi shukr zyada karega. yeh matlab is hadees ka: "lam yashkur al-nas, lam yashkur al-allah". jo insaan ka eteraf nahi karega, woh khuda ka bhi eteraf nahi karega.