59:18unhon ne likha hai: "mera sawal yeh hai ke insaan ko apni kisi ghalti ki wajah se jo takleef pahunchti hai, kya is ko bhi hum aazmaish kahenge ya woh aazmaish nahi hogi balke apne kiye ki saza hogi?" is ki wazahat farmayen. nahi, saza nahi kahiye is ko, woh ek ibaadat ka mauqa hai. dekhen, jab bhi aadmi koi ghalti kare aur us ghalti ka us ko, us ki wajah se us ko koi nuqsan ho to woh ibaadat ka mauqa hota hai. kya is se aadmi ke andar izzat paida hota hai, tawazu paida hoti hai, apni kami ka ehsaas hota hai, modesty aati hai, aur Allah ki taraf rujoo karta hai?
1:00:13woh agar aadmi bilkul sab kaam is ka theek bana hua ho, koi baat bigre na to Allah ki taraf rujoo nahi hoga, us ko dua nahi, us ke ubhre gi, zikr nahi ubhre ga, Allah ki azmat ko daryafti kar paye ga. woh to yeh to, yeh to ek blessing hai, blessing ke aadmi ko koi nuqsan uthana pade, koi baat bigar jaye us ki kahin na kahen. wohi to mauqa hota hai jab aap ko apne apni helplessness ko aap daryaft karte hain, apni izzat ko daryaft karte hain, apni kami ko daryaft karte hain, aur wahan par aap criticize hote hain.
1:00:56aur phir is ke baad woh sari baaten ubharti hain, zikr aur dua aur ibaadat aur inabat, akhbaar yeh sab paida hota hai. main samajhta hoon ke yeh achhi baat nahi ke aadmi ki zindagi mein kuch na bigaad ho, kuch baat sab banti chali jaye, sab is ka theek theek ho. yeh koi achhi baat nahi hai kyunke is ke andar muhasba nahi hoga, is ke andar self thinking nahi hogi. to is wajah se is ko ek rehmat ke roop mein lijiye, is ko kisi zehmat ke roop mein mat lijiye, yeh blessing in disguise hai. yeh
1:01:37maulana, agla sawal hai mrs saira lateef ka karachi pakistan se. unhon ne likha hai: "mera sawal yeh hai ke kya maut ke aate hi insaan apne anjaam yani jannat ya jahannum mein pahunch jata hai ya use qayamat ke din ka intezar karna hoga?"