1:28:27maulana, un ke do aur sawal hain. un ka doosra sawal yeh hai: unhon ne likha hai ke kuch musalman yeh kehte hain ke rss islam ki dushman hai. kya aisa samajhna theek hai? rss ki baat nahi, koi bhi dushman nahi. aadmi khud apna dushman zaroor hota hai. baqi koi dushman nahi hai. na rss dushman hai, na yahoodi dushman hai, na america dushman hai. koi dushman nahi hai. yeh concept hi galat hai ke koi dushman hamara hai. har aadmi apna khud dushman hai. matlab galat, galat yani galat feal kar ke khwamkhwah masle create karta hai.
1:29:04to kehta hai ke falan dushman hai. main is concept ko nahi manta ke koi dushman hamara hai. chahe rss ho, chahe yahoodi ho, chahe american ho, chahe koi bhi ho, main sab ko insan samajhta hoon. har ek ko bator insan, bator ek human being ke leta hoon. agar us ki rai alag ho, meri rai alag ho to main phir discuss karunga us se. discuss karne ki mujhe azaadi hai. dushman samhoon aur yeh samhoon ke woh conspiracy kar raha hai, yeh islam ki zabaan nahi hai. yeh islam ki zabaan nahi hai. quran mein sirf shaitan ko dushman bataya gaya hai, bas aur kisi ko nahi.
1:29:46quran ke mutaliq kisi ke dushman koi hai to woh sirf shaitan hai, aur koi aur sab insan hain. baqi log aap quran ko parhiye to shaitan ko bataya gaya ke woh tumhara dushman hai, aur kisi ko nahi bataya gaya hai ke woh tumhara dushman hai. maulana, in ka aakhri sawal yeh tha ke hindu se aap ko kitni mohabbat hai? is par koi apna waqia bataein. ab ab mein
1:30:23kya bataon? mein to yaani hindu ka har ek se mohabbat karta hoon, aur mujh se barh kar waqia rasool Allah ka batata hoon aap ko. mein mera to waqia to bhara hua hai, yaani meri zindagi mohabbat ke waqie se bhari hui hai. mera nafrat ka koi koi dakhal nahi. bohat se waqiat bata sakta hoon mein, lekin mein aap ko rasool Allah ka waqia batata hoon ke madine mein jab rasool Allah sallallahu alaihi wasallam hijrat kar gaye
1:30:59to us waqt wahan par yahoodi hua karte thay. yaani yahudion ke kuch qabile thay jo madine mein rehte thay, jis ka naam asaf tha. pehlay to ek din aisa hua ke rasool Allah sallallahu alaihi wasallam madine mein ek maqam par thay to wahan samne se janaza guzra. janaze ka jo jaloos hota hai na ke janaza janaza ja raha hai aur peechay log chal rahe hain, to yeh manzar tha.
1:31:27is ko dekh kar rasool Allah sallallahu alaihi wasallam khare ho gaye. yaani is ko matlab respect, is ke respect mein khare ho gaye. to ek sahabi ne kaha ke ke aey Khuda ke rasool, yeh to yahoodi ka janaza tha, koi musalman ka nahi tha. aap ne farmaya ke alaihi wasallam nafsan, kya woh insan nahi tha? wazeh, wazeh, not a human being. to rasool Allah ne is yahoodi ko insan samjha. insan to har ek ko humein insan samajhna hai, chahe yahoodi ho ya ya RSS ka aadmi ho ya kisi bhi group ka, kisi bhi qomiyat ka ho, aadmi woh insan hai.
1:32:10hamare liye qabil-e-izazat hai. woh humein har ek se normal tareeqe se rehna hai. yeh is rasool Allah ke is waqie se nikalta hai. hamara is pe, mera isi pe, mera tareeqa isi par hai, isi par amal karta hoon. aur meri zindagi aise waqiat se bhari hui hai. ab is ko mein kya bataon? yahan par maulana, i would just like to say one thing to mr imran hassan ke i am from a hindu background, aur aap ne jitni mohabbat mere se kari hai, utni mohabbat shayad hamare parents ne bhi hum se nahi kari. i bear witness to that. aaj hi mein ne kisi se kaha ke jab mein kahin jata hoon to mein rajat ke baghair nahi jata. sab se pehle poochta hoon ke rajat rahenge ya nahi rahenge?
1:32:55aaj hi, aaj subah kahin bhi jana ho mujhe to pehla sawal mera yeh hota hai ke rajat mere sath honge ya nahi honge? yeh sab ada to kar sakte hain ke mere dil mein bhed bhav bilkul nahi hai.