1:27:02maulana, dilli se agla sawal kiya hai amjad ahmad sahib ne . unhon ne likha hai kya dawat ka kaam sirf tamam insano tak quran pahuncha dene se mukammal ho jayega? is ke bare mein batayen. dekhen yeh sara maamla hai istataat par. kitna aap ke bas mein hai. kitna aap ke bas mein hai. matlab yeh hai ke aap quran pahunchana, un ke liye dua karna, un ke liye supporting system, supporting literature ko dena, phir dobara mulaqat kar ke feedback lena.
1:27:41yeh poora ek culture hai, ek poora ek nizam hai. lekin har kaam hota hai istataat ke baghair. jitna aap ke bas mein hai. ittaqu allaha wastaṭa'tum to dawat mein mein samajhta hoon ke quran ko logon tak pahunchana yeh is ka basic baat hai. basic. lekin quran ko pahuncha kar ke kaam khatam nahi hoga. is ke baad bhi bohat sa kaam hai. ke feedback aap lenge agar to naye naye pehlu samne ayenge. supporting literature aap dena chahenge to nai nai baaten samne ayengi.
1:28:22is ke mind ko parh kar ke chahenge is ka mind address karun to nai nai baaten samne ayengi. to kitna aap ke paas time hai, kitna aap ke paas energy hai, kitna aap ke bas mein hai, is par hi inhisaar hai. warna daawa work to ek poora life work hai. poori zindagi is mein involve ho jati hai aadmi ki. raat din, subah sham aap is ke liye sochen, is ke liye paisa kharch karen, is ke liye time kharch karen. to yeh aap yaani aap jitna istataat hai is ke lehaz se aap ki zimmedari rahegi.
1:28:58maulana, agla sawal jamia millia islamia se mus tabassum ne kiya hai. unhon ne likha hai once my friend asked me about hajar aswad she said that why you people go to makkah and touch that stone and also in your salat you turn your face towards the black stone maulana sahib please tell me how can I give her a satisfactory reply