52:39maulana, agla sawal Shahnawaz saheb ka hai, Bangalore se. unhon ne aapse poocha hai ke "why is it so difficult for a man to accept his mistake?" is ke baare mein bataiye. apni ghalti manna itna mushkil kyun? main to samajhta hoon ke yeh shaitan ghalib rehta hai har ek ke upar, is liye aisa hota hai. aur yeh shaitan ya iblis ki sunnat hai, apni ghalti na manna. yaani Adam ke aage jhukne ke liye hukum diya Allah taala ne. to ghalti iblis ki thi, lekin us ne naoozubillah Allah taala par blame daal diya.
53:30rab bima aghwatanii. to yeh ablis ki sunnat hai, chounke ziyada tar log apni baagh jo hai, shaitan ke haath mein diye rehte hain, malaika ke haath mein nahi dete. dekhen, dunya mein zindagi jo hai, ek tarah ki zindagi guzarenge to aap malaika aap ke saathi ban jayenge. doosre tarah se guzarenge to shaitan aap ke saathi ban jayenge. log aam taur par shaitan ko apna saathi banaye rakhte hain. to shaitan yahi sikhayega ke ghalti na mano, apne aap ko shaitan ke asar se nikaliye aur malaika ki sohbat mein laiye.
54:10apne aap ko to aap ka mizaj badal jayega, aap ki soch badal jayegi. aap ke liye mushkil nahi hoga ke aap keh saken ke "aye wadran", balkeh aap ko acha lagega. yeh kehte hue aap ko khushi hogi ke "aye wadran". jo log malaika ki sohbat mein zindagi guzar rahe hain, un ko khushi hoti hai kehte hue "aye wadran", lekin jo log shaitan ki sohbat mein zindagi guzar rahe hain, un ko yeh kehna mushkil hota hai ke "aye wadran", kyunke shaitan ka mizaj yahi hai, shaitan ka culture yahi hai. maulana, agla sawal aaya hai bhopal se. firoz sahib ne likha hai, unhone likha hai ke "maulana, aap aksar hum logon ko adjustment karne ke liye kehte hain.