1:06:22Maulana, agla sawal Kashmir se hai Hamidullah Hameed sahib ka. Unhon ne likha hai: "Maulana sahib, why are leaders fail to discover the new role of Muslims in history?" Please comment on this . Yeh kisi bhi individual ki zindagi mein ya kisi bhi community ki zindagi mein, kisi bhi nation ki zindagi mein aisa hota hai. Ek khaas junction hota hai jahan ek ek daur khatm hota hai, doosra daur aata hai. To wahan par agar aap yeh is raaz ko na samajh saken ke ek daur khatm hua, doosra daur aa gaya, to yeh ghalti karenge. Yeh bahut hi nazuk imtehaan imtehaan hota hai. To Musalman chounke afsat the azmat Muslim mein, jaise ke main ne arz kiya, kitaab chhapi hai Azmat al-Naql al-Muslim.
1:07:11To aaj tak bas azmat Muslim ki baaten ki jaati hain. To jo lambi muddat tak jo Musalmanon ki glory thi, dauran political glory, to usi mein jeete rahe, jeete rahe, jeete rahe. Saari naslen isi mein nasl dar nasl conditioning hoti rahi. Isi mein to bas isi ko le kar naye daur mein daakhil ho gaye, yaani pichhle mind ko le kar ke naye zamane mein daakhil ho gaye. ab ab kya hai? ab ab ghalati mannay ko tayyar nahin. jis ko dekhiye, woh apni ghalati manta hi nahin. har aadmi doosra blame leta hai. to ab jo ab musalman hain, un ko to sab se pehla kaam yeh karna hai ke seedhe seedhe kahain ke "we are wrong". tab is ke baad nai beginning hogi, warna koi nai beginning hone wali nahin hai.
1:08:01kya qayamat aa jaye, koi nai beginning nahin hone wali. yeh ek law of nature ki baat mein keh raha hoon. maulana, agla sawal dilli se hai