1:22:06maulana, dilli se miss naghma siddiqui ne sawal kiya hai. unhone aapse poocha hai: "how can we develop anti-self thinking?" is ke bare mein bataiye. dekhiye, yeh to sab se bada jo zariya hai woh hai aakhirat ko yaad karna. kyunke dekhiye, hadees mein aata hai ke: "la tazal qadamah abdein hatta yasil arbaeen." insaan ke qadam hitteinge nahi Allah ke saamne se jab tak woh chaar baat ka jawab na de le. kaisi sakht baat hai yeh duniya mein jo Allah ne paida kiya, yahan aap ko rakha, life support system diya, saare wasail diye.
1:22:58to aap marne ke baad ek waqt aane wala hai jab saare insaan Allah ke saamne haazir honge. isi ko farmaya ke: "la tazal qadamah abdein hatta yasil arbaeen." ke insaan ke qadam Allah ke saamne hitteinge nahi jab tak woh chaar sawalon ke jawab na de de. woh kya hai? woh yeh hai chaar sawal ke yeh jo yeh jo zindagi mili thi, is ko kahan istemaal kiya? jo jawani di gayi thi, jawani energy ka daur, is ko kahan khapaya? aur teesri cheez hai, maal kahan se kamaya? aur chauthi cheez hai, maal kahan kharch kiya?
1:23:49apni zindagi ko kahan istemaal kiya? apni jawani ko kahan khapaya? maal kahan se kamaya aur maal kahan kharch kiya? yeh chaar sawal jab tak jawab na de lega, us waqt to us ke qadam hitteinge nahi Allah ke saamne se. to yeh yeh agar soch ho to aadmi hil jaata hai. is se muhasba aata hai, introspection aata hai, self correction aata hai. lekin agar yeh soch na ho to aadmi koi koi bada change aane wala nahi.