Maulana Wahiduddin Khan

What should Muslims do when internationally tortured?

“No doubt you are right that Japan and Germany developed after renouncing war, but Muslims are internationally tortured and instigated. Then what should Muslims do?”Asked by Shihab Haider, Delhi

He answers at 1:00:53 in Importance of Peace · 5 min 26 sec

His answer, in his own words
1:00:53
Maulana, agla sawal Dilli se hai aur Shahab Haider sahib ne kiya hai. unhone likha hai ke No doubt you are right in saying that Japan and Germany were developed after seizing and stopping war, but Muslims are internationally tortured and instigated. Then what should Muslims do? yeh is se bada jhoot koi nahi hai ke musalman torture kiye ja rahe hain. is liye ke yeh nauzubillah Khuda ka inkar hai. Quran mein hai kan haqqan alaihi nasul mu'mineen to kya Khuda nauzubillah so gaya hai? jo log yeh kehte hain ke musalmanon par torture ho raha hai, musalmanon par zulm ho raha hai, woh bohat bhaari gunah ka kaam karte hain.
1:01:41
is ayat ki nafi karte hain, Allah ke wajood ka inkar karte hain. "kan haqqan alayhi nasul mu'mineen" yani Allah taala farma rahe hain ke mere upar wajib hai ke main musalmanon ki madad karoon. to kya Allah taala so gaya hai? yeh aap ko yeh manna padega ke ya ya to is ayat ko galat manen ya is is is is is baat ko galat manen ke torture kiya ja raha hai. hargiz torture nahi kiya ja raha hai. woh musalmanon ki yani hamakaton ki price pa rahe hain musalman. Muslims are paying the price of their own stupid policies jaise abhi jo falasteen mein aap dekhiye, aaghaz kahan se hua? teen israeli ko woh pakad kar laye, abduct kiya aur us ko maar dala. to us ke baad jo shuru hui war, to musalman is ko zulm kehte hain.
1:02:34
No, that was retaliation. jab aap apni taraf se yeh sab karwaiyan karenge to Allah madad nahi karega aap ki. Allah ki madad na aane ka masla yeh hai. torture ka masla nahi hai. yaad rakhiye, is waqt jo ho raha hai musalmanon ke sath, woh Allah ki madad na aane ka masla hai. doosri qaumon ko torture karne ka masla nahi hai. isi raat ko jo musalman samajh jayenge, un ki taqdeer badal jayegi. un ka ek naya future ka darwaza khul jayega un ke liye. haan, ke jo kuch is waqt ho raha hai, woh Allah ki madad na aane ka masla hai.
1:03:14
woh torture ka masla nahi hai. jaise misaal ke tor par dekhiye, aap agar sookha padta hai, khat aata hai to woh Allah ki barish rukne ka masla hai. zulm ka masla nahi hai. to farmaya bataya gaya ke ja ke istisqa ki namaz padho. aur istisqa ki namaz jab bhi padhi gayi hai sahi tareeqe se to barish hoti hai. main khud jab padhta tha madrasa Islam mein to bohat sookha pada. barish ruk gayi. to madrasa ke logon ne tay kiya ke hum istisqa ki namaz padhenge.
1:03:54
to wahan ek gaon hai bina para, madrasa ke qareeb. wahan ek bohat bada maidan tha. hum sab log, sare madrasa ke log wahan gaye. gaon ke log bhi aaye, aas pas ke. aur mujhe maloom hai, yaad hai ke ek the Maulana Saeed sahab, Maulana Saeed Ahmed Nadvi. bohat hi buzurg, bohat hi naik aadmi the woh. woh wahan hadith padhate the. main un ka, un se main ne hadith padhi hai. Maulana Saeed Ahmed Nadvi. unhon ne imamat ki thi. mujhe yaad hai ke hum log madrasa se jab chale the to bilkul suraj garam, suraj har taraf bikhra hua tha, us ki garmi.
1:04:38
aur wapas aaye to hum sab yani pahunchte pahunchte bheeg chuke the. yeh mera apna zaati waqia hai. to barish jab ruke to yeh mat kahiye ke zulm ho raha hai, zulm ho raha hai, zulm ho raha hai. istisqa ki namaz padhiye. to ab jo waqia ho raha hai, yeh mat chiye ke zulm ho raha hai, torture. nahi, Allah ki taraf rujoo kijiye. Allah ke hukum ko apnaie ke tum apni taraf se bad amal karo. bad jo hai musalmanon ke sath hota, woh ret
1:05:17
aliate karte hain. is ko khatam karo. is ki clear misaal yeh hai ke falasteen mein pehle teen israeliyon ko pakad laye, kahin se mauqa se pa gaye, woh la kar ke maar dala us ko. khatam kar diya us ko. yeh bhi nahi kaha ke hostage banate, maar dala. to unhon ne retaliate kiya. yeh Allah ke usool ke khilaf hai. to musalmanon ko is waqt jo karna hai, woh yeh karna hai ke woh apne hisse ka, yani tashaddud had tak padhen.
1:06:01
idhar ka tashaddud apne aap khatam ho jayega. agar aap peace chahte hain, taraqqi chahte hain to apne hisse ka tashaddud had tak padhna padega. to idhar tashaddud khatam. woh nahi, woh chain war chali gi. woh chain war chal rahi hai is waqt. maulana, agla sawal raipur se hai, idrees sahab ka. aur unhon ne likha hai: In today's lecture you gave two options.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.