55:32maulana, agla ek comment aur sawal hai mazhar sahib ka dilli se. unhon ne likha hai comment ke tor par: "maulana, please aaj ke topic par agar ek book likhain to yeh samaj mein bohat faida mand ho gi. meri yeh aap se ek request hai." aur unhon ne jo sawal poocha hai maulana, woh is tarah hai ke "kya tauba kareem karne ka islam mein koi khaas tareeqa bhi bataya gaya hai?" is ke baray mein batayen. dekhen, tareeqa kisi cheez ka nahi hota. sara ek zehni amal hai. tadabbur, tafakkur, tasawwur, zehni amal. koi tareeqa is se nahi hota. bas sochiye, sochiye, sochiye. soch kar application kijiye.
56:25beh-haal, yeh bohat hi khatarnak baat hai ke aadmi tauba kareeb na kare aur tauba baeed tak nabat aa jaye. to phir tauba hi nahi. is waqt tauba hi tauba ki nabat hi nahi aye gi. tauba ya to qareeb mein ho gi, baeed mein tauba hi nahi ho gi. yeh is se maloom hota hai. maulana, dilli se agla sawal kya hai doctor farhat naseeren ne, aur unhon ne likha hai ke "Kindly elaborate on the merits of cutting down TV time and increasing the resting time." kya matlab is ka