Difference between belief and realization
“What is the difference between belief and realization? Is belief alone sufficient?”Asked by مولانا اقبال عمری, چنئی
He answers at 46:05 in Paradise as A Goal · 1 min 53 sec
46:05maulana, yeh pehla sawal aaya hai Maulana Iqbal Umri sahib ka Chennai se. yeh likhte hain: "belief aur realization mein kya farq hai? sirf belief kaafi hai? achha, yaani aqeedah aur maarfat. to main samajhta hoon ke bohat bara farq hai. aqeedah to yeh hai ke aap maan lein, lekin
46:43doosri shakal yeh hai ke aap apni aqal ko istemaal karein, cheezon ko reason out karein. tab is pe yaqeen aaye ga aap ko. aqeedah mein zaroori nahin ke aap ke andar gehra conviction ho, gehra yaqeen ho. jabke asal matloob hai yaqeen, gehra yaqeen. to
47:09aqeedah aur maarfat ya belief aur realization mein yeh farq hai ke aqeedah sirf maan lene ka naam hai. misaal ke taur par aap ne keh diya ke la ilaha illallah to aap ka aqeedah haasil ho gaya. lekin sochte sochte aap is ko itna zyada apni dil mein bithayein, apni aqal mein itna zyada bithayein ke is ko aap ko gehra yaqeen ho jaye. tab woh banti hai maarfat ya realization. yeh main samajhta hoon ke har aadmi ke liye zaroori hai ke woh apne aqeedah ko maarfat tak pahunchaye. apne aqeedah ko maarfat tak pahunchaye. yeh aap ka apna, har aadmi ka apna, apni koshish hota hai.
47:58maulana, yeh agla sawal kya hai? doctor farida khanum ne dehli se