Maulana Wahiduddin Khan

Is Paradise where we see Allah

“مولانا، कैन वी से दैट जन्नत वो है जहां अल्लाह ताला का दीदार होगा और अ प्लेस वेयर वी विल मीट अल्लाह?”Asked by محمد اصف خان صاحب, دلی

He answers at 56:09 in The Expression of Faith (Izhar e Deen) · 2 min 52 sec

His answer, in his own words
56:09
maulana agla sawal dilli se hai, muhammad asif khan sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, can we say that jannat woh hai jahan Allah taala ka deedaar hoga aur a place where we will meet Allah?" haan, saheeh hai. saheeh hai. hadees mein aata hai ke rasool Allah se poocha gaya ke kya hum jab akhirat mein Allah ko dekhen gay to aap ne farmaya ke haan, jis tarah tum suraj chand ko dekhtay ho, aisay hi dekho gay. aap ghor kijiye, ek banday ne is dunya mein socha ke kaun woh hasti hai jis ne mujhe banaya?
57:00
aisa insan kaise ban gaya? kaun hai jo mujhe sambhalay hue hain? kaun hai jo mere liye life support system intazam kar rakha hai? woh kaun hai? mera khaliq kaun hai? mera rab kaun hai? is sari umar isi mein sochta raha woh. aur aur dunya mein to is liye nahi dekh paya woh ke ghayb ki dunya yahan to wahan bhi nahi dekhe ga woh woh to sab se bari, sab bari, sab se bari nemmat hai jo Allah taala us ko day ga, apna deedaar. agar deedaar ilahi na ho to phir jannat bhi bekar hai.
57:39
to yeh poori, yeh yeh ek momin ki sab se bari tamanna yeh honi chahiye ke woh kabhi woh waqt aaye ke woh Allah ka deedaar kar sakay. sab se bari tamanna yeh to iman ka sab se bara darja hai ke aap is tamanna mein jayen. aap is is tamanna mein jayen ke woh waqt aaye jab ke main Allah ko dekhon aur direct ek keh sakoon ke khuda-e-to mera khuda hai. jahan main kehta hoon jab ke mere samnay Allah nahi hai, yahan main kehta hoon ke aye Allah, tu mera Allah hai.
58:20
woh ghayb mein hai Khuda. to yeh rooh tarpati hai momin ki. momin ki rooh mein aik tarp hoti hai, tarp ke kaash woh din aaye ke main Allah ke samne khara hoon aur us waqt kahoon ke khuda ya tu mera khuda hai. main tujh ko ghayb mein bana tha, aaj main tujh ko shoor mein iqrar karta hoon. yeh to sab se bara tajruba hoga. woh dunya jo aanay wali hai, is ka safar experience yahi hoga ke aap Allah ko dekhenge aur Allah se direct baat kar sakenge.
59:01
maulana agla sawal raipur se hai, idrees sahib ka. unhon ne likha hai: "One who is blind here will be blind there."
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.