Maulana Wahiduddin Khan

Terrorism in Pakistan and advice for Muslims

“Maulana, what is your opinion on the increasing terrorism in Pakistan? And what suggestion do you have for the Muslims of Pakistan? What should they do at this time?”Asked by محمد فیصل گجر, اسلام آباد

He answers at 48:21 in Pillars of Western Thought · 2 min 59 sec

His answer, in his own words
48:21
molana, agla sawal aaya hai islamabad, pakistan se muhammad faisal gujjar sahib ka. unhon ne likha hai: "molana, aap pakistan mein barhti hui dahshat gardi par kya rai rakhte hain? aur aap pakistan ke musalmanon ke liye kya suggest karte hain? woh is waqt kya karen?" dekhiye, pehla kaam to yeh hai ke aap parosi mulk se lad kar ke zinda nahi reh sakte.
48:53
pakistan ne awwal din se india se larai chhod rakhi hai, to yak tarfa taur par pakistan ko larai ko band karna pare ga. ab kya state ke level to larai band kar diya unhon ne, lekin proxy war chala rahe hain. abhi aaj akhbar mein tha, to proxy war bhi chhoden aur state war bhi chhoden. is ke baghair koi beginning nahi hai pakistan ki, koi beginning nahi. rasool Allah sal-lal-lahu alai-hi wa-sal-lam ne dekhiye, hudaybiyah ka mu'ahida kar ke larai ko khatam kar diya tha,
49:29
tab wahan par taraqqi hui. aur yahan par kya hai? ladai, ladai, ladai, ladai chal rahi hai. aur direct ladai dekha ke char bar Pakistan lada, har bar hara. ab unhon ne kya kiya? proxy war chhod chhod shuru kar diya. to jab aap baqayda ladai se nahi jeet paye, to to proxy wars ke jeetenge aap. jab tak wahan par yeh nazariya khatm na ho ke ladai se kuch hasil kiya ja sakta hai, tab tak kuch hone wala nahi hai. Pakistan ka mera ek two point formula hai: ek to yeh ke wahan par state ke ilawa logon ke pas khoob hathiyar hain, aur yeh khud government ne is ko, yani asaniyan paida keen ke logon ke pas hathiyar ho. main ne suna hai ke wahan hathiyar bikte hain sabzi ke tarike se.
50:26
to wahan par, yani sirf state ke pas hathiyar ho, awam ke pas bilkul hathiyar na ho, bilkul mukammal taur par is ko band kar diya jaye. ek baat yeh ho. doosri baat yeh hai ke parosi mulk se ladai ko khatm kar diya jaye, na direct war, na proxy war. tab beginning hogi. abhi to beginning ke asar hi nahi hain, abhi to koi beginning hi nahi hai. is ke baad kya hoga? ke do kaam karna chahiye aap ko: mulk ki taameer, mulk ki taameer aur dawat.
51:04
mulk ki taameer aur dawat. taameer mein sab se number one par aata hai education. to education aur dawat. lekin jab tak ladai ka mahaul hai, wahan ladai ka mahaul, tab tak koi taameeri kaam nahi ho sakta hai. Maulana Ajmer se Dr. Safina Tabassum ne sawal kiya hai. unhon ne likha hai: "Maulana sahib, sometimes it happens that while doing dawah work with ar madhu, the madhu starts an argument.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.