1:01:27maulana agla sawal bhi dilli se hai. woh kousar ali sabri sahib ne likha hai. unhon ne likha hai: "muslim aur momin mein kya farq hai? momin kin logon ke liye istemal kiya jayega? is ke baray mein bataye." yani fiqhi lihaz se to yeh farq hai ke momin woh hai jo aqeedah rakhe aur muslim woh hai jo is par amal kare. yani ke momin ka lafz aqeeday ko batata hai aur muslim ka lafz amal ko batata hai.
1:02:08lekin haqeeqat ke aitbar se dono mein koi farq nahi hai. kyun ke imaan jo hai woh sirf is yeh nahi ke aap kalma padh len. lip service ka naam imaan nahi hai. imaan hai discovery ka naam. imaan discovery ka naam hai, marifat ka naam hai. jab aap Allah ko daryaft karen, jab aap alam e aakhirat ko daryaft karen, aap farishton ko daryaft karen, aap jannat dozakh ko daryaft karen, aap creation plan of God ko daryaft karen to us waqt aap marifat wale ban jate hain.
1:02:52marfat wale. is ke baad kya amal abhi kaheen chupa rahe ga idhar udhar? is ke lazmi nateejay ke taur par amal zahir hoga. dekhen, daryaft ka lazmi nateeja amal hai. to fiqhi taqseem mein to imaan naam hai aqeeday ka aur amal naam hai aur islam naam hai amal ka. lekin yeh fiqhi taqseem hai. haqeeqat, haqeeqat ke aitbaar se koi taqseem nahin. jab daryaft aayi to amal aaya. to darja marfat mein aap Allah ko daryaft karen,
1:03:31darja discovery mein aap haqeeqaton ko jaan len to is ke baad amli amal hai. phir phir amal kaheen door nahin rehta aap se. maulana in ka ek aur sawal hai. unhon ne ek quran ka reference diya hai, ek ayat ka. unhon ne likha hai: "wa alhawa quranun majeedun fi lauhin mahfuzin" .