Should Muslims wage combined jihad against West?
“Today you spoke about the Western world, but it is the Western world which is exploiting the Muslim world and is the real enemy of Islam. What do you have to say about it? Should the Muslim world not unite together and wage a combined jihad against the West?”Asked by Sarfaraz, Hyderabad
He answers at 52:33 in Pillars of Western Thought · 4 min 3 sec
52:33Maulana, yeh sawal Hyderabad se aaya hai Sarfaraz sahib ka. unhon ne likha hai: "Maulana, today you spoke about the western world, but it is the western world which is exploiting the Muslim world and is the real enemy of Islam. What do you have to say about it? Should the Muslim world not unite together and wage a combined jihad against the w est?" bhai, is soch ko to main hundred percent galat samajhta hoon ke koi enemy hamara hai. yeh qaumi soch hai. qaumi soch musalmanon mein koi ek shakhs bhi nahi nahi maloom mujhe jis ne is soch ko banane se pehle Quran ko padha ho. misal ke taur par, aap agar Quran ko padhen shuru se aakhir tak yeh samajhne ke liye to kya hoga
53:27? jagah jagah aap ko milega aap ke khilaf ayatein, misal ke taur par: "antum al-a'aloon in kuntum momineen" yani iman wali sifat tumhara darja hongi to tumhein koi kamyabi hogi. to musalman to do sau saal se lad rahe hain, aisa nahi ke ladai abhi shuru hi nahi hui. ladai to do sau saal jari hai, to kamyab kyun nahi hui? is ke mani ke hamara tareeqa-e-kaam par iman nahi tha ya qaumi tha. aise hi Quran mein aap padhenge, aap dekhiye ke: "Innallaha la yughayyiru ma bi qawmin hatta yughayyiru ma bi anfusihim" is ke mani ke islah ka aaghaz apne aap se hota hai. to kabhi musalmanon ne bataiye, kabhi is par koi un ka jalsa hua yeh sochne ke liye ke bhai duniya mein hum ko jo problem hai, to hamari apni zaati, hamare andar kya kamiyan hain?
54:23kabhi koi jalsa mujhe bataiye sirf doosron ko bura bhala karne ke liye jalsay hote hain. to sara masla yeh hai ke musalmanon ne is zamane mein qomi nuqta nazar ikhtiyar kar rakha hai. naam lete hain Islam ka, naam lete hain Islam ka. sab se pehla kaam yeh hai ke aap ek baar itikaf mein baithein aur Quran ko sirf is liye padhein ke Quran moajaz halaat ke liye kya hum ko hal de, hal batata hai. misalan, ek abhi ayat maine ek padhi ke: "la tastawee al hasratain
55:11ke agar tum ko koi dushman nazar aaye, tab bhi us se dosti ka amal karo to us ki dushmani khatm ho jayegi." to musalmanon ne mujhe bataiye, kabhi bhi ek baar bhi Quran ke formulay ko apnaya hai? wo to qomi zid, qomi dushmani isi mein phanse hue hain. to is mein jab aap qomi ladai ladenge to Allah ka saath nahi milega aap ko. jab aap qomi ladai ladenge to Allah ka saath aap ko nahi milega. to is mein to haar yaqeeni hai. doosri baat ek yeh hai jin ko musalmanon ne dushman declare kar rakha hai, wo aap ke madhu hain. madhu wo dushman hai hi nahi.
55:58sara west aap ka madhu hai. yani aap par pehla farz hai ke hum ko dawat dein. Quran ke mutabiq yeh hukum milta hai. to musalmanon ne sara mamla bana rakha hai qomi aur hawala dete hain Islam ka. yeh to bohat zyada jisarat ki baat hai. is ki to pakad ho gayi Allah taala ka musalmanon ki ke tum ne qomi ladai chhod rakhi thi aur is ko naam de de rahe the Islam ka. Maulana, agla sawal Delhi se hai. Samar Sherwani sahab ne