1:03:14maulana, agla sawal dilli se hai. mister amrit kumar sharma ne kiya hai. unhon ne likha hai: "dost sanparda ke log saath rehte hain, khana khate hain, parantu dharm ke naam aate hi woh kyon dushman ho jate hain? is ki kya wajah hai?" aisa nahi hai ke aap jo keh rahe hain yeh aisa nahi hai. asal cheez yeh hai ke kisi cheez ko le kar ke log bhadak uthte hain. provocation problem hai, na ke dharm. dharm ka dharm apne aap mein koi problem nahi hai. lekin chhoti chhoti baaton par provok ho jayen log, wahan par baat flare up ho jati hai.
1:04:04jaise misaal ke taur par dekhiye, ek jagah holi ka tehwar tha, juloos nikla, woh apne rangon ko chhod rahe the kea. to ek jagah aisa hua ke masjid ki deewar par rang pad gaya. to bhadak uthe log, masjid ko be-hurmati ho gayi, halanke use koi be-hurmati ka masla nahi hai. ek chhoti si bhadak uthna, asal cheez hai ke chhoti chhoti baaton par bhadak uthna. to chahe hindu bhadak utha ya musalman bhadak utha, woh fasad ho jayega. na bhadka to fasad nahi hoga. to provocation is the problem, not the religion. maulana, agla sawal bangalore se aaya hai. mister rakesh sharma ne kiya hai. unhon ne likha hai: "maulana, you have always advised us to adopt simple living and high thinking.