1:03:46maulana in ka ek aur sawal hai. unhon ne ek quran ka reference diya hai, ek ayat ka. unhon ne likha hai: "wa alhawa quranun majeedun fi lauhin mahfuzin" . unhon ne likha hai ke yahan lauh mahfooz se kya murad hai, is ke baray mein aap bataen. bhai, dekhen, is mein mufassireen ka ikhtilaf hai. to meri jo rai hai, woh aap meri tafaseer parh lijiyay. yahan par main ikhtilafi mozu mein nahin jana chahta, lekin beharhal mufassireen ka ikhtilaf hai. lekin meri jo rai hai, woh aap meri jo tafseer hai, tazkir ul quran, usay parh lijiyay.
1:04:28maulana agla sawal dilli se hai, miss naghma siddiqui ka. unhon ne likha hai: "Is it right to say 'Izharuddin means to create such a world in which freedom and opportunities are open for peaceful people in the practical sense?'" haan, sahi hai.