Why do Muslims leave their countries for livelihood?
“Is Allah not fulfilling the needs of Muslims in their own countries that they have gone to other countries for livelihood? What compelled these people to leave their countries and go to other countries for livelihood? Please explain.”Asked by Abdul Latif, Karachi, Pakistan
He answers at 57:39 in The Existence of God · 3 min 21 sec
57:39. maulana, yeh sawal aaya hai karachi pakistan se abdul latif sahab ka. unhone likha hai: "kya ashiya mulkon mulkon ke musalmanon ki zarooraten allah taala un ke apne mulkon mein poori nahi kar raha hai ke woh bahar ke mulkon mein maash ke hasool ke liye gaye hue hain?" aakhir in sab logon ko kis cheez ne majboor kiya hai ke woh apne mulkon ko chhod kar bahir ke mulkon mein maash ke liye gaye hue hain? is ki wazahat karen." bhai, is ka sabab yeh nahin ke maash nahin mil rahi un ko apne mulkon mein.
58:21bas ek ek shauq hai dollar kamane ka, pound kamane ka taake jab bachchon ka mustaqbil zyada achha banaein. yeh saara mamla hai ke apni family, apne bachchon ko behtar mustaqbil dene ke liye woh ja rahe hain in mulkon mein. sab se ajeeb baat yeh hai ke Pakistan ke logon ne mutalba kiya tha ke hamein ek alag mulk chahiye taake hum Islam ke mutabiq reh saken. sab se ajeeb mamla to Pakistani logon logon ka hai. Pakistan ki logic yahi thi ke hamein ek ek alag khitta chahiye jahan hum Islam ke mutabiq reh saken.
59:04achha, jab woh khitta mil gaya to khud Pakistan ke beshumar log chale gaye bahir, Europe, America. to yeh to bohat bara jurm ka mamla hai ke Khuda ne Pakistan ko kehte hain log, mamlakat e Khudadad. mamlakat e Khudadad agar sach much ho woh to us ko chhod kar tum mamlakat e Shaitan Dad mein ja rahe ho, jis ko Shaitan kehte hain. woh yeh bohat bari munafiqat hai yeh ke is is mutalbe ke ko le kar ke Pakistan banwaya gaya ke hamein Islam ke mutabiq jeene ke liye ek khitta chahiye.
59:47aur jab woh ban gaya to inhi mulkon mein chale gaye jo in in ke nazdeek, yani jahan taghoot taghooti nizam qaim tha, usi taghooti nizam mein. kyunke wahan par zyada achhi, yani zyada bari kamai ho sakti thi, wahan zyada achha mayar zindagi milta tha un ko. to munafiqat hi munafiqat hai. ab is ko main kya keh sakta hoon? is ka to bas Allah hi in logon ka tajziya kar sakta hai, insaan ke bas mein nahin hai. main ek martaba America mein ek Pakistan ke ek sahib the, wahan par baqayda daadhi waali thi un ki. to main ne kaha: "aap Pakistan ko chhod kar America kyun aa gaye?" to kya jawab diya unhon ne?
1:00:43ke jis ki rozi jahan rahe gi, woh wahan jaye ga. to main ne kaha ke mamlakat e Khudadad mein aap ki rozi nahin hai, hum mulk ke taghoot dad mein rozi hai aap ki. jis ko aap log taghoot kehte hain, wahan rozi aap ki hai. to yeh Allah hi in logon ke sath nipat sakta hai, hamare jaisa aadmi nahin nipat sakta un se. Maulana, agla sawal bhi Karachi Pakistan se hai Miss Saira Latif ka.