Difference in reactions to criticism of God vs Prophet
“Einstein said in his letter that God does not exist. If someone said the same thing about the Prophet, there would be protests all over the world. Why is there this difference in the matter of God and the Messenger? Please explain.”Asked by زکوان ندوی, دلی
He answers at 1:22:29 in The Existence of God · 2 min 8 sec
1:22:29maulana, agla sawal dilli se hai maulana zikwan nadvi sahab ka. unhon ne likha hai: "einstein ne apne letter mein khuda ke baray mein jo kaha ke khuda ka koi wajood nahi hai, agar yahi baat koi shakhs prophet ke baray mein keh de to sari dunya mein protest shuru ho jaye ga. khuda aur rasool ke mamlay mein yeh farq kyun paya jata hai, is ke baray mein batayein." dekhiye, musalman phatkay hue hain. aaj kal ke musalman jo hain, mein saaf kehta hoon ke yeh phatkay hue log hain. yeh yeh na khuda ko mantay hain, na muhammad ko mantay hain. apne qoumi khwahishat mein jeetay hain yeh log. yeh qoumi khwahishat ke hangamay hain. yeh mat samjhiye ke rasool Allah ke hangamay hain. harghiz harghiz yeh rasool Allah ke hangamay nahi hain.
1:23:19rasool Allah ke hangamay agar hotay to woh jantay hain ke rasool Allah ne kya kiya. yaani gustakhi par hangama kiya rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne. wahan to gustakhi khoob hoti thi rozana subah makkah madinay mein. yeh to qoumi hangamay hain, apni khwahishat mein peechay dorr rahay hain. yeh in ko na islam se matlab hai, na quran se, na muhammad se, na islam khuda se, kisi se matlab nahi. in ko apni khwahishat se matlab hai. mein nahi manta ke yeh koi islami phenomena hai. mein harghiz nahi manta ke yeh koi islami phenomena hai.
1:23:54yahan phenomena aaye to kyun nahi? in ke andar khauf khuda kyun nahi? in ke andar insaan se khair khwahi kyun nahi? in ke andar yeh jazba kyun nahi ke logon ko quran pohanchayein? yeh sab jazba kyun nahi? khair, marna kaatna kya hai? hangama karna, protest karna, jalsay nikalna, yeh kyun hai? sab se pehla jo hona chahiye, rasool Allah: "lilk baakh an-nafs ka an-fusak allahu yaqoon al-mu'mineen". yeh rasool Allah ki yeh seerat hai. yeh kyun nahi? in ke andar hai ke logon ki khair khwahi mein aap poochtay thay ke kaash in ko sachai mil jaye. to agar aap baray ashiq rasool hain to yeh kyun nahi?
1:24:37yeh harghiz ishq rasool nahi hai. yeh yeh qoumi hangamay hain, is ka koi na dunya mein faida hai, na akhirat mein faida hai. maulana, agla sawal raipur se aaya hai idrees sahab ka.