Maulana, agla sawal kiya hai Pune se Salman sahib ne ۔ unhon ne likha hai: "Maulana, you always display positivity and tell others also to do the same. please tell us what is your secret formula?" dekhen, secret formula kuch bhi nahi hai. logon ne Allah Rabb-ul-Alameen ko daryaft nahi kiya, sab be khabar hain. mere tajrube ke mutabiq koi ek bhi shakhs nahi hai musalmanon mein jis ne Allah Rabb-ul-Alameen ko daryaft kiya ho. yeh saare masjid se aur saare masjidain jo bhare hue hain barish logon se, kuch nahi janta ke koi aadmi Allah Rabb-ul-Alameen kya cheez hai.
na mullah janta hai, na molvi janta hai. agar aap Allah Rabb-ul-Alameen ko daryaft kar lein to us waqt lazman yahi cheez paida hoti hai jis ko aap ne farmaya: "positive thinking." mere tajrube ke mutabiq agar koi insan ho chupa hua kisi to mein nahi janta us ko. meri itni lambi umar hai, maine kisi ek insan ko nahi paya, na masjid madrase mein, na universityon, collegeon mein jis ne waqai Allah Rabb-ul-Alameen ko daryaft kiya. to positive thinking kahan se aayegi? to sab se pehli cheez yeh hai ke aap Allah Rabb-ul-Alameen ko daryaft kijiye. Is ke baad lazman aayegi
jis tarah gulab ka phool aap laiye aap ghar mein to lazman khushboo aayegi. Yeh naam kehne ka aap gulab ka phool layein aur khushboo na aaye. Gulab ke phool ke sath sath khushboo aati hai, aise Allah Rabb-ul-Alameen ke sath sath lazman positive thinking aati hai. Maulana, agla sawal lene se pehle ek comment parhna chahenge jo Ghazipur se Tawfiq Khan sahib ne likha hai. Unhon ne likha hai: "Maulana sahib, main Al-Risala kary hoon.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.