Maulana Wahiduddin Khan

How does falsehood arise in a community?

“How does a sense of falsehood arise within a community?”Asked by Ms. Razia Siddiqui, Delhi

He answers at 1:11:00 in Realistic Approach 30 March, 2014 · 4 min 28 sec

His answer, in his own words
1:11:00
maulana, agla sawal dilli se kya hai miss raziya siddiqui ne. unhon ne aapse poocha hai: "how does a sense of falsehood arise within a community?" is ke bare mein batayein. dekhiye, yeh woh jo kaha tha woh mustafa scholar ne, wohi is ka behtareen jawab hai ke paranoia. angrezi mein aik lafz hai paranoia, yaani paranoia develop karta hai. paranoia ka matlab hota hai jis ko hum kehte hain pershan mein padram sultan. woh mera baap badshah tha,
1:11:47
tu khud tu kuch hai nahi, baap badshah tha, us pe fakhr kar rahe hain. Yeh hai paranoia. Yeh tu jab bhi aadmi tu musalmanon ka muamla yeh hai ke un ek zamana tha ke un ke hukoomatein theen, un ka empire tha, unhon ne taj mahal banaya, lal qila banaya, qutub nak banaya. Ek daur tha woh, tu ab tu woh daur khatam ho gaya, ab tu kuch bhi un ke paas nahi hai. lekin kitabein jo hamari likhi gayeen, mein nazdeek jitni kitabein likhe wale the us zamane ke, sab ne ek bohat bara, yaani ek bura kaam kiya apni qaum ke sath ke tareekh ke zariye ubharna chaha, yaani tareekh ko yaad dila kar ko ubharna chaha. Yeh mein hairaan hoon ke logon ko bohat aql thi ke aql ke sath koshish un ke dimaghon mein thi ke guzri hui tareekh se aap kisi qaum ko ubharein ge tu tu kiya paida
1:12:44
hoga, yaani false pride aaye ga. Sare musalman is zamane ke jo hain, jo leader hain, jo leader hain, jo kitabein likhein, mein mujhe kisi ka exception nahi maloom ke mazi ke jo azmatain hain, us ko yaad dila kar ke un ko ubharna, is se tu false pride paida hoga. wohi paida hua tu musalmanon mein jo paranoia character hai, woh is ke zimmedar yahi muslim rehnuma, muslim writer aur muslim mustahkeen hain. aap musalmanon ki jo bhi kitab le ke parhiye, sab mein wohi mazi ki azmatain bayan ki jayengi. Hum yeh the, hum woh the, hum yeh the, hum woh the,
1:13:30
hum hi the, yaani kiya woh hum hi chhaye hue the sharq se ta gharb duniya mein. hum hi chhaye hue the sharq se ta gharb duniya mein. Na tha pallah kisi muslim ka duniya mein gira hum se. tu yahi cheez hai ke ke woh azmat jo chali gayi, us ko yaad dila kar ke aap un ko chahte hain, un ko revive karna. tu is se koi positive soch nahi aayegi, is se false pride aaye ga. Wohi aa gaya musalmanon mein, is ke zimmedar wohi log hain jinhon ne is zamane mein musalmanon ko qadeem tareekh yaad dila kar ke un ko dobara ubharna chaha.
1:14:18
koi shayar ne kaha tha ke "hudeera nawara talakh turmeeda fi zauq naghma kamyabi hudeera teez tar mikhwan jo mahmal na gira bain y". Yeh yeh yahi sab cheez hai jis ne musalmanon ka yeh halat kar rakhi hai. Yaani jo musalman paranoia character ban gaye, is ki zimmedari khud un par nahi hai, un ke rehnumaon par hai jinhon ne mamle ko samjhe baghair ek galat rehnumai di un ko.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.