Maulana Wahiduddin Khan

What will happen to the next generation due to increased evil?

“Evil has increased a lot, what will happen to our coming generation?”Asked by Maulana Iqbal Umri, Tamil Nadu

He answers at 1:03:57 in The Problem of Intellectual Stagnation · 2 min 36 sec

His answer, in his own words
1:03:57
Maulana, agla sawal hai Maulana Iqbal Umri Sahab ka Tamil Nadu se. unhon ne poocha hai ke logon ka aksar yeh sawal rehta hai ke burai zyada ho chuki hai, hamari aanay wali nasal ka kya hoga? yeh to koi sawal nahi hai. yeh nasal ka kya hone ki aap nasal ki islaah kijiye. mere aziz to nasal ke bigaad ke sabza zimmedari maa baap par hai. har ghar jo hai, bigaad ka karkhana bana hua hai. taqreeban saare maa baap ka haal kya hai is zamane mein ke woh aik hi baat jante hain: paisa kamao aur aur bachon ka status barhao.
1:04:47
yani bachchon ko easy money faraham karna, yeh uske liye machine banay hue hain. Maa baap jitnay baap maa baap ko main jaanta hoon ke kama kama kar bachchon ko paisa dena to easy money to sab se sab sab bari bigaad ki wajah hai. mere ilm ke mutabiq jitnay maa baap hain, unka aik hi kaam hai: paisa kamao, bachchon ko easy money faraham karo. koi log jahaz chala kar se business kama kar aisa karte hain aur jo baray baray log hain, woh corruption ke zariye paisa kamatay hain.
1:05:29
baray baray corruption ho rahay hain, karoron arbon ke rupay corruption kis ke liye? Bete ke liye hota hai, sab bachchon ke liye hota hai. aaj kal corruption ki qissay suntay hain aap ke itna scheme aur itna yani karor arbon rupay ke jo sab qissay atay hain akhbaron mein, rshwaten, woh kis ke liye? Bachchon ke liye, sab bachchon ke liye ke woh khud jo leader hai, jo yeh sab kar raha hai, woh to boorha boorha ho ke marne wala hai, chahta hai ke mera bacha jaye, us ke liye dolat ka anbaar laga jaon mein. to main sochta hoon ke yeh money culture sab se bari wajah hai. Money culture aur money culture har har har ghar mein money culture ka karkhana khula hua hai.
1:06:13
to doosron ko blame karne dein, jo jo kehtay hain, woh khud bhi isi mein shikar hain. Blame detay hain doosron ko, jo sahib yeh keh rahay hain, un ko is ko pata kijiye, woh khud bhi isi ka shikar hain ke kama kama kar bachchon ko easy money faraham karna. maulana, agla sawal nakpoor se hai misster ghafoor dadani sahib ka. Unhon ne likha hai ke auraton ko hi parda kyun hai?
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.