1:06:33maulana, agla sawal nakpoor se hai misster ghafoor dadani sahib ka. Unhon ne likha hai ke auraton ko hi parda kyun hai? mojudah burqa kya Allah ka hukum hai? Is ke baray mein batayen. is ke baray mein main pehle arz kar chuka hoon ke best kitab hai allama naseeruddin albani ki "hijab al-banat al-muslima". is mein unhon ne likha hai ke burqa jo hai, yeh baad ki cheez hai, islami shariyat se is ka koi talluq nahi hai.
1:07:13aurat ko saada libas, sater libas, ghair namashi libas yeh hona chahiye bas. Aur poora jo body hai, dhaka hua ho, aisa kapra nahi ke jo hadith mein aata hai ke pehan kar bhi nangay rehna. to aisay kapray pehnay atay hain ke kapra bhi hai, phir bhi nanga pan to woh woh kapra nahi ho. To wohi wohi wohi wohi islami tareeqa hai. baqi burqa jo hai, koi sa yani rasool Allah ke zamanay mein koi burqa nahi banta tha, burqa tha hi nahi, wahan burqa ka wahan riwaj hi nahi tha. to main nahi samajhta, to is mein to koi shakk nahi, lekin is zamanay mein log itna shadeed ho gaye hain is moamlay mein ke burqa ko islam ka hissa samajhnay lagay hain, yahan se le kar maghribi mulkon tak.
1:08:14yeh to aik bidat hai, is ka islam se koi talluq nahi hai. Aur is burqay ke andar woh sab sab kuch hota hai, wohi makeup, wohi zewar, wohi namashi kapray. to asal cheez jo matloob hai, woh nahi hai. Aik zahiri burqa aik aik bana rakha hai. To beharhal, main burqay ko koi koi sahi sahi cheez nahi samajhta, is ko aik riwaj samajhta hoon. riwaj. Maulana, agla sawal miss naghma siddiqui ka hai dilli se.