1:16:47maulana agla sawal Dilli se hai, Anas sahib ka. unhon ne likha hai: "hadees mein aaya hai ke question half knowledge hai, is ka kya matlab hai?" is ka matlab hai ke sacha saail kaun hai, yeh hadees bata rahi hai. aaj kal sawal ka jo riwaj hai, woh hai ke mind mein koi khayal rahe ga, woh dhar se sawal kar diya. aam taur par yahi hota hai ke aap ke dimagh mein ek baat aayi, bas dhar se us ko sawal kar diya. lekin momin woh hai, is sawal par homework pehle khud kare. woh apna, yaani homework karne ka matlab yeh hai ke khud pehle sochein, aap us ko is sawal ka matlab kya hai, khud daryaft karein, khud tehqeeq karein, khud mutala karein.
1:17:36to homework jab aap kar chuke hon ge to aadha kaam to ho chuka hoga. to phir doosra aadmi jab bataye ga to aap paper and mind hon ge us ko samajhne ke liye. jo homework na kare, woh paper and mind nahi hai. woh sawal kare ga aur jawab diya jaye ga to pakre ga bhi nahi woh. to mera ek sahi sawal yeh hai ke aadmi pehle homework kare aur phir sawal kare, warna na na na sawal karne ka koi faida hai, na jawab dene ka koi faida hai. maulana agla sawal lene se pehle ek comment parhna chahenge jo Doha Qatar se Maulana Abdul Basit Umri ne bheja hai. unhon ne likha hai: "maulana, Allah ki daryaft ke bare mein aap ne kaha tha ke Allah ka daryaft ka maamla ek baar ka maamla nahi hai,