56:19Maulana, in ka ek aur sawal hai. Unhon ne likha hai: "Qur'an mein Surah An'am mein kaha gaya hai ke keh do: Meri namaz, meri qurbani, meri zindagi aur meri maut sirf Allah hi ke liye hai." Maulana, is ayat se hamein kya message milta hai? Is ka matlab wahi hai jo maine arz kiya: Khuda rakhi zindagi. Jo hamari sar'garmiyan hain, un sari sar'garmiyon ka rukh ek Allah ki taraf ho jaye. Aap jante hain, har aadmi ka koi maqsad hota hai. Uski sari dorr dhoop isi maqsad ke gird ghoomti hai. Koi aadmi aisa nahi hai jis ka koi maqsad na ho. To Islam ka taqaza yeh hai ke aadmi apna maqsad hayat jo hai, woh banaye: Deen ko, akhirat ko, Allah ki raza ko.
57:24Wohi zindagi Islami zindagi hai jis mein uski zindagi ka rukh sara ka sara Allah ki taraf ho jaye. Yahi matlab hai is ayat ka. Maulana, yeh sawal kiya hai Mr. Tasawwur Hussain ne. Unhon ne yeh sawal London se likha hai. Unhon ne likha hai ke "My area of interest is theory and practice of international relations.