Maulana Wahiduddin Khan

Is it appropriate for a da'i to only meet like-minded people?

“Generally, people have the tendency to only meet like-minded people. They do not interact with those who are not like-minded. What is this temperament like for a da'i (caller to Islam)?”Asked by زکوان ندوی, دلی

He answers at 1:18:30 in The Message of Eid Al-Adha · 8 min 35 sec

His answer, in his own words
1:18:30
maulana, agla sawal aaya hai maulana zikwan nadvi ka dilli se. unhon ne likha hai: "aam taur par logon ka yeh mizaj hota hai ke woh sirf like minded logon se milte hain. jo log like minded nahi hote, un ke sath woh interaction nahi karte. ek daai ke liye is tarah ka mizaj kaisa hai?" daai to aise mizaj ko afford nahi kar sakta. aisa mizaj ho, daawti kaam kaise karega woh? daai ko to un like minded logon par jana parta hai. kaise daawti kaam karega agar is se parhez kare to woh? aur dekhiye, mera zindagi ke waqt tajurba aaya hai ke logon ke mizaj aam taur par yahi hota hai.
1:19:17
like minded logon ko le ke bait h jaate hain. har jagah mein ne dekha hai, yaani hatta ke qabristan mein aur shadiyon mein, ijtimaat mein like minded logon ke sath baith ke baatein karte hain. is ka nuksan kya hai? is ka nuksan yeh hai ke aap ka intellectual development nahi hota. intellectual development nahi hota aap ka. to daai ke liye double nuksan hai.
1:19:43
ek to apna intellectual development ruk jayega. intellectual stagnation aa jayega aap ke andar. kyun ke jo woh sochta hai, wahi aap bhi soch rahe hain. to kaise development hoga? aur daawti kaam mein aap un logon ke paas jaane se ghabrayenge jin ki soch alag ho, jin ka ilm aap se zyada ho. to daai ko to apne ko tayyar karna parta hai ke har ek ke paas ja kar ja sake, har ek se apna paigham de sake. mera mizaj, yaani ajeeb baat hai ke paidaishi to baqiya mere andar hai. jaise mein vegetarian hoon, paidaishi taur par e
1:20:25
se hi un like minded logon se milna, un like minded logon se, yeh bhi mere paidaishi taur par. jaise mein jab tha adam, mein ne gaon mein jab tha bohat pehle to mere milna julna teen aadmiyon se hota tha mera, aur teeno angrezan the, jab ke mein angrez zyada nahi tha is zamane mein. mr. ateeq ahmad ansari aur ali hamd abbasi, khalil ur rehman azmi, yeh sab teeno angrezan the. zyada tar mujhe mil jata tha, jab ke woh khud angrez is zamane mein nahi aata tha. is zamane mein sirf molvi wala taleem meri hui thi. to is se un se mein maloomat leta tha, un se zuban seekhta tha, un ke tareeqe maloom karta tha. to mera bachpan se yeh mizaj hai ke mein, yaani un like minded logon hi se milta hoon zyada. is se mujhe faida hota hai.
1:21:20
to behal yeh na sirf daai ke liye, balke aam insan ke liye bhi yeh cheez bohat, yaani nuksan wali hai. kyun ke is se aap ka, yaani intellectual development ruk jayega. maulana, un ka ek aur sawal hai. unhon ne likha hai: "ek missionary aadmi ke liye kya sirf yeh baat kafi hai ke woh daawti literature logon tak pohanchaye, ya mission ke liye zaroori hai ke kuch individuals ko le kar un ke mind ki re engineering ki jaye, aur individuals par focus kar ke dawat aur maarfat ki nisbat se un ko train karein?" haan, dekhein, dono kaam karna hai.
1:22:06
ek to jahan tak mumkin ho, aap quran pohanchayein, literature pohanchayein. yeh to karna hi karna hai. lekin isi ke sath sath aap apne aas paas ke logon mein kuch logon ko select karein, select jinke andar seekhne ki rooh ho, jo sincere hon, jo baat samajh sakte hon. un se bar bar milein, un ko kitabein dein, un ke mind ko train karein ۔ yaani individual based, jis ko mein kehta hoon. to aap ko, yaani aam taur par bhi message pohanchana hai.
1:22:47
jaise kisi aaj gaye kisi seminar mein, wahan bohat se log aaye hue hain. woh ek hi baar aap se mulaqat ho rahi hai un ki, to un ko aap ne kitaben de din. woh ghar ja ke parhen ge. yeh bhi kaam hai. lekin isi ke sath kuch logon ko aap ko, yani select kar ke ek ek ek individual ke tor par, ek fard ke tor par un par mehnat karna hai. yeh bohat hi zaroori hai, yeh kaam.
1:23:15
maulana, mister sajid anwar ne roorkee se sawal kiya hai. unhon ne likha hai: "maulana, once you explain that god will grant throne of truth to selected persons in the day of judgment, but those who are involved in kazb, yani jhoot bolna, whether hidden or open, will not be chosen for that. maulana, please guide us how to save ourselves from kazb khafi, that is hidden lie." yeh to aadmi ke hath mein mera tajurba hai ke logon ki aadat pad jati hai. yani kazb e jali jo hai, khula khula kazb, jaise aap yeh nahi kahen ke main is waqt washington mein hoon.
1:24:03
khula khula jhoot hai. yeh kaun manega is ko ke aap kahen ke is waqt mein washington mein hoon? to khula khula jhoot to koi nahi bolta, kyun ke woh justify nahi kar paye ga is ko. lekin kazb e khafi jo hai, woh logon ki aadat pad jati hai. yani apne apne aap ko acha banaye rakhne ke liye, apne yeh koshish mein ke main logon ki nazar mein galat na thehroon, main is ke liye aadmi koi toast kar ke bolta hai. jo angrezon ko kehta hai, toast kar ke bolna, yani saaf saaf na kar ke, na kar ke yeh kuch bolta hai. woh to toast kar ke bolna bhi kazb e khafi hai.
1:24:45
to yeh yeh aadat pad jati hai bachpan se. bachpan se aadat pad jati hai ke aadmi is tarah se baat karta hai ke woh is par blame na jaye. woh doosron ki nazar mein acha bana rahe hain. yeh ek mizaj hota hai jo bachpan se hote hote aadmi isi mein conditioned ho jata hai. mera tajurba yeh hai ke log conditioned ho jate hain kazb e khafi ke, yani chote chote jhoot jo hote hain. to jab tak aap apna introspection na karen, apna muhasba na karen, dhoond dhoond kar na nikalein apni aadatein, apni ghaltiyan,
1:25:31
to yeh aadatein itni barh jati hain ke aadmi isi ka addict ho jata hai. addict wohi us ko acha lagta hai ke toast kar ke bole, apni apni safai, apne aap ko saaf suthra banaye rahe, doosron ki nazar mein galat na dikhai de. woh to yeh aadmi ka ek mizaj ban jata hai. to yeh to bohat mehnat karni pare gi. yeh aam tor par taqreeban 70 feesad logon mein yeh baat hai. to bohat zyada mehnat karni pare gi apne aap ko is se bachane ke liye. mera mamla aisa hua ke main bachpan se alag thalag rehta tha. bohat zyada alag thalag. to mere andar yeh mizaj bana nahi. lekin log aam tor par society mein rehte hain.
1:26:13
main family mein bhi door rehta tha logon se. yani family mein bhi alag thalag kahin rehta tha. to family mein, society mein, kahin pe main mil jul kar nahi rehta tha. to mil jul kar aanay se yeh sab mizaj banta hai ke doosron ki nazar mein ache dikhane ke liye. to main alag thalag rehta tha, is liye mere andar yeh mizaj bana nahi. kitaben parhta tha, sochta tha. is tarah ki meri life thi. to aam tor par log social zindagi guzarte hain. to bohat zyada logon ko aadat pad jati hai. taqreeban aisa mujhe mera khayal hai ke logon ko exception dhoondna mushkil hai.
1:26:52
to yeh kaam har aadmi ka hai ke dhoond dhoond kar apni ghalti nikale, apni aadaton ko durust kare. nahi to woh kazb-e-khafi mein jiye ga, kazb-e-khafi mare ga. Maulana, agla sawal kya hai? Maulana Asrar ne Tamil Nadu se. Unho ne likha hai ke ek sahib ne kaha ke hum ko fakhr hai ke hum ko Al-Risala jaisa mission mila.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.