1:31:41maulana, yeh sawal aaya hai maulana abdul basit ka doha qatar se. unhon ne likha hai: "maulana, shukr ki halat mein jeene ka formula kya hai is imtehan ki duniya mein?" is ke baray mein batayen. mera tajruba to yahi hai ke shukr ke item ko bar bar daryaft karna parta hai, warna aadmi bhool jata hai. bar bar daryaft karna parta hai shukr ka item, kyun ke waqeat hotay hain to woh waqeat awaz laga kar nahi atay. mislan hum yahan bethe hain to aakhri din aa rahi hai, to aakhri din chala kar to aati nahi hai. to humein, hum yaani humein kuch khabar nahi hai, aakhri din aa rahi hai, hum saans le rahe hain. to humein discover karna paray ga ke Allah taala ki kitni bari ehsan hai ke woh hamari kisi zaati intezam ke baghair, hamari kisi bill ada kiye baghair, aakhri din ki supply har waqt ho rahi hai.
1:32:58aise hum bol rahe hain, aap sun rahe hain, yeh bhi beech mein jo hua hai ya jo electronic jo beech mein zariya hai, woh chalata nahi hai. to humein discover karna paray ga ke Allah taala ne kitna bara intezam kiya hai. to shukr ke item ko jo bar bar discover karta rahe, usi ka andar shukr jazba rahe ga, warna nahi rahe ga.