“In a hadith, four signs of hypocrisy are mentioned. One of them is 'when he disputes, he becomes abusive' (إذا خاصم فجر). What does 'fajr' mean?”Asked by Abdul Basit Umri, Doha, Qatar
maulana un ka ek aur sawal hai unhon ne likha hai nifaq ki char alamat batayi gayi hain is mein se ek cheez hai khusumat ke waqt fazoor idha khasma fazra is ka matlab kya hai fajr ka mani ladna jhagadna dekhen ladna jhagadne ka mani yeh nahi ke aap hath hath paon chalane lagen yeh matlab nahi hai matlab hai ke aap ek reason pesh karein woh aadmi aap par woh allegation ki zuban bolay yeh hai fajar yani aap logic pesh karein reason pesh karein daleel pesh karein woh aadmi kya kare koi shair parhay
koi joke chhoday koi aap par ilzaam lagaye kahe ke aap to yahudiyon ke agent hain aap to America ke agent hain is tarah ki wali bolay wahi fajar hai fajr yeh mujhe to bohat tajurba hota hai is ka
to aise log mein ne bohat kam paaye ke jab un ke paas daleel na ho to chup ho jaayen woh daleel jab nahi hoti hai to kuch aur baatein bolne lagte hain idhar udhar ki baatein taake aap ko daba len yeh woh log hotay hain jin ke dil mein Allah ka darr nahi munafiq kaun hai munafiq wahi jis ke andar Allah ka darr nahi
Allah ka darr aap ko kya karta hai modest banata hai aap ka nature submissive nature ban jata hai aap surrender karne walay ho jatay hain aap reality ke agay jhuk janay walay bantay hain dekhein ek sacha insan jo Allah se darne wala hai woh afford nahi kar sakta ke sachai agay woh na jhuke woh
sachai is ke aage aagaye sachai ka matlab jo mein le raha hoon yahan par ek ek reasoned baat ek bohat hi logical baat to ek aadmi jo Allah se darta ho jis ke andar sachai dil ke dil mein utri hui ho woh afford nahi kar sakta ke ek logical baat aaye ek us ke haath ek ek ek reason wali baat aaye ek daleel wali baat aaye aur woh jhuke nahi yeh matlab hai is is hadees ka ke na jhuk kar kya karega woh fazool baatein karega woh idhar udhar ki baatein kareg a ilzaam lagana shuru karega yeh matlab nahi ke haath paon chalayega woh.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.