Means of purification for Paradise
“The Quran says Paradise is for those who purify themselves. Please clarify what is the means of purification?”Asked by Shah Imran Hasan, Delhi
He answers at 49:44 in Man and The Paradise · 5 min 51 sec
49:44maulana, agla sawal dilli se hai shah imran hassan sahab ka. unhone likha hai: "quran mein bataya gaya hai ke paradise in logon ke liye hai jo apna tazkiya karein. please is ko wazeh karein ke tazkiya ka zariya kya hai?" dekhein, is ka matlab yeh hai ke dunya mein hum dunya mein hum aise halaat ke beech mein hote hain jahan har waqt hamein yaani unwanted situations sab ka pesh aata hai.
50:27jis ko log kehte hain koi zulm kar raha hai, koi sata raha hai, koi provoke kar raha hai, koi hamein nuksan pahuncha raha hai. yaani yeh sab hona hi hona hai, yeh sab hona hi hona hai kyunke is ke baghair test nahi. to in sab ke beech mein jo aap ne apne aap ko allah wale raaste par qaim rakha hai,
51:01to woh is ne apna tazkiya kiya. misal ke taur par dekhiye, aap logon se mulaqat kiji ye, har aadmi shikayat ki boli bolega. koi america ki shikayat karega, koi yahoodi ki shikayat karega, koi yahood hindoo ki shikayat karega, koi apne ghar ki shikayat karega, apni family ke member ki shikayat karega, koi samaj ke logon ki shikayat karega. yaani har aadmi koi shikayat hi boli bolega.
51:31to kis ko kahenge log tazkiya nahi kar rahe hain apna? kyunke shikayat hi boli na bolna hi tazkiya hai. yaani america aap ko farz ki jiye ke pareshan kare. main to nahi manta ke america pareshan kar raha hai. america hamara dushman hai. main nahi manta is ko jhoot samajhta hoon. main jhoot. america hamara dushman hai. yeh bilashuba mere aqeeday ki jhooti baat hai. na woh islam ka dushman hai, na musalmanon ka dushman hai, na america ka yahoodi bhi dushman nahi hai. har ek apna apna case hai. har ek apne interest par dor raha hai.
52:09is duniya mein allah taala ne paida kiya to har aadmi apne interest par dorega. to yahoodi apne interest par dor rahe hain, america apne interest par dor raha hai, hindoo apne interest par dor rahe hain. to aap shikayat kyun karte hain? aap bhi doriye apne interest par. to bilashuba mera aqeedah shikayat karna yaani allah ke khilaf bolna hai. kyunke allah ne logon ko azadiyan di hain. azadi di hai to apne interest par dorengay. woh kyun nahi dorengay? woh agar aap ko kahin dhakka lagta hai, aap ko koi nuqsan hota hai to aap us ko manage kijiye.
52:48kyunke allah ki is qeemat badlegi nahi. yeh namumkin hai ke allah ki is qeemat badal jaye. woh to rahegi. aur jab rahegi to log aap apni azadi ko apni marzi ke mutabiq istemal karenge. to sab se bada tazkiya yeh hai ke shikayat ki nafsiyat khatam ki jaye. nafrat ki nafsiyat khatam ki jaye. aur ek aur baat main aap se arz karoon ke jo aadmi shikayat mein jeeta hai, bilashuba apne aap ko munafiqat ka rizq leta hai. munafiqat ka rizq. misalan aap dekhiye, bohat se musalman milenge aap ko america ke khilaf dham se bolenge. dekhiye, inhi ke beta aur damad america mein ja kar settle ho kar aram se reh rahe hain.
53:37in ke khilaf nahi bolenge. yaani ek taraf america ke khilaf bolenge, doosri taraf apne bete aur damad ko america mein settle karenge. to yeh munafiqat hi to hai. yeh to jab bhi aap reality ke khilaf bolenge, jab bhi aap allah ka jo action plan hai, us ke khilaf chalenge to lazman nateeja kya hoga? munafiq ban jayenge aap. kyunke halaat to badlenge nahi. aap ke chahne se duniya ka naqsha to badlega nahi.
54:08to aap apna jahan dekhen ke baraye interest to kal ho raha hai, to interest ki khatir samjho compromise bhi kar lenge. yaani ek taraf to dhuan dhar bolenge aap ke falan dushman hai, falan dushman hai, aur doosri taraf interest ki khatir compromise bhi kiye hue honge. to yaad rakhiye, shikayat ki nafsiyat, nafrat ki nafsiyat, aur yeh jo hai ke yeh zulm, yeh zalim hai, woh zalim, yeh jo culture hai, is mein jo aadmi jeeta hai, woh lazman munafiq banega. bach nahi sakta is se. to bohat hi khatarnak baat hai. to tazkiya kahan se hoga? jo shikayat ki nafsiyat mein jiyenge, woh tazkiya kahan se hoga in ka
54:56? woh to aakhir kaar munaafiqat mein ja kar jeena paray ga in ko. to sab se bara tazkiya yeh hai ke aap Allah ke naqshay ko maanein aur logon ke sath khair khwaahi ke sath rahen. shikayat ki nafsiyat se apne aap ko paak karen. nafrat ki nafrat ko haraam samjhen aur har haal mein, har haal mein positive mind ke sath zindagi guzaren. yeh sab ka tazkiya hai.
55:35maulana, agla sawal singapore se hai, mr sailesh malhotra ka. unhon ne likha hai: "maulana, your words are very thought provoking and very true.