Meaning of knowing known things again
“What is the meaning of knowing already known things again? In the Quran, what is meant by 'tasreef al-ayat' (diversification of verses)? Please explain with an example.”Asked by اقبال عمری, تمل ناڈو
He answers at 1:10:00 in Man and The Paradise · 1 min 39 sec
1:10:00maulana, agla sawal tamil nadu se hai. maulana iqbal umri ka, unhone likha hai: "jaani hui baaton ko phir se janne ka matlab kya hai? quran mein tasreef ayat kis ko kaha gaya hai?" is ke bare mein bataein. to unhone misaal de ke bata diya ke jaani hui baaton ko phir janna kya hai. maine misaal di ke sankaron baar mein glass mein pani le ke piya tha, maine lekin lekin ek din aisa hua ke jab pani gir gaya to main ek bohat badi jo daryaft ho gayi mujhe.
1:10:41to kaha glass mein pani ko maine rediscover kiya. aise hi quran ko padh kar ke, main jaisa ke maine arz kiya, is tarah ramzan mein ek nayi cheez daryaft hui ke yeh dunya nursery hai aur jannat woh bagh hai jahan yahan ke paida wahan basaye jayen. to har cheez mein, har cheez mein naya pehlu maujood hai, naye naye pehlu beshumar hain. kul yawmin huwa fi sha'n. to aap ke andar jab yani zehni bedari aati hai, intellectual awakening, to phir aap dekhte rehte hain cheezon mein naye naye pehlu, rozana nayi discovery hoti rehti hai.
1:11:28to apne andar zehni bedari lana, apne andar intellectual awakening lana, yeh asal kaam hai. baqi to apne aap se hota rehta hai. maulana, agla sawal raipur se hai. idrees sahab ka, unhone likha hai: "prophet used to offer voluntary prayers such as nafl, sunnah, witr, etc.