Recognizing and avoiding wishful thinking
“Maulana, today in the class you mentioned a term amani, that is wishful thinking. Please tell us that how can I recognize whether I am indulging in amani and how can one come out of this?”Asked by Sajid Anwar, Roorkee
He answers at 1:16:15 in Man and The Paradise · 7 min 5 sec
1:16:15maulana, agla sawal roorkee se hai. sajid anwar sahab ka, unhon ne likha hai: "maulana, today in the class you mentioned a term amani, that is wishful thinking. please tell us that how can i recognize whether i am indulging in amani and how can one come out of this?" dekhiye, amani ka matlab yeh hai ke apne aap hum kuch criteria bana lein khud se. ek hai woh criterion jo diya gaya hai quran o hadees mein. ek to hum apne aap bana lein.
1:16:56to apne aap jo bana lete hain, isi ko quran amani hai. to is se pehle yahood ne aise bohat se bana rakhe the. mislan in ka ek amani ki misal yeh hai ke jo aadmi yahoodi family mein paida ho jaye to bas us ki jannat pakki hai. yani unhon ne salvation ko base, yani birth based bana diya. yahood ne salvation ko birth based, yani yahoodi family mein paida hone hi kafi hai ke aadmi jannat mein jaye. theek hai, yahi musalmanon mein aa gaya hai. ab musalman samajhte hain ke musalman ghar mein paida ho gaye to phir jannat yaqeeni hai. to birth based concept jo hai salvation ka, woh hai amani.
1:17:46aur jo musalmanon mein bhi isi tarah aa gaya, jo tha yahudiyon mein tha. aisi bohat sari cheezein hain jis ki quran o hadith mein koi buniyad nahi hai. khud hi khud bana liya hai. jitne yeh jo mauzu rawaiyat hain, woh sab amani to hain. aur aur kya hain? jitni mauzu rawaiyat hain, woh sab amani hain. aaj kal musalman amani pe khade hue hain. sab amani pe khade hue hain.
1:18:14ab misal ke taur par dekhiye, jo insan hain, yani jo non muslim hain, woh hamare liye madu hain. madu musalmanon ne kya samajh rakha hai ke woh hamare liye dushman hain. bas un ko maro. un se nahi mar sako to kam az kam nafrat karo un se. nafrat karoge to jannat mein jaoge. yeh sab khud sakhta hain, khud hi bana rakha hai. yeh doosre insan insan hain, doosre insan madu hain. un se hamein khair khwahi karna hai, un se hamein nafrat jaiz hi nahi hai. chahe woh america ho, chahe yahoodi ho, chahe hindu ho, hamare liye haram hai ke hum nafrat karein un se.
1:18:57lekin ab musalman dhoom se nafrat kar rahe hain. sare musalman nafrat kar rahe hain. shikayatein kar rahe hain, protest kar rahe hain, gun aur bomb chala rahe hain. yeh sab haram kaam hain. lekin is haram kaam ke liye unhon ne khud sakhta taur par, yani deen ke interpretation nikal rakhe hain. khud sakhta taur par, khud sakhta taur par nikal rakha hai ke yeh jaiz hai. yani just is ko quran o hadith se justify kar rakha hai. woh hai amani. quran o hadith justify kar rakha hai is ko amani par. jitna bhi yeh nafrat karobar hai musalmanon mein, ghair muslimon se, chahe america ke khilaf ho, chahe yahoodi ke khilaf ho, hindu ke khilaf ho, sab amani par mabni hai.
1:19:45yani khud hi khud bana liya aise matlab quran o hadith ka jis se woh justify hota ho un ka feal. to sab amani mein jeete hain yeh log aur sab ke sab Allah ke liye pakde jayenge. kyun ke hamare less be amani ek amani ek ahl e kitab. yani tum khud se koi, yani ek khud se ek interpretation nikal lo, khud se ayat aur hadith ka matlab nikal lo jis se tumhara justify ho raha ho tumhara feal. is se to bacho ge nahi, pakad jaoge.
1:20:17tum pakad jaoge. jaise ek misal deta hoon main aap ko ke kuch logon se meri mulaqat, kuch logon se baat hui meri. main ne kaha ke arab log jo ladai chhede hue hain yahudiyon ke khilaf, woh islam ke khilaf hai. woh anti islamic ladai hai. unhon ne kaha kaise? main ne kaha ke quran mein saaf saaf likha hua hai ke falasteen yahudiyon ke liye likh diya gaya hai. yani yahudiyon ke liye woh, yani goya allot kar diya gaya hai. kehna chahiye yeh likha hua hai quran majeed mein: falasteen yahudiyon ke liye allot kar diya gaya hai.
1:21:01to aap kyun lad rahe hain un se? woh Allah ne unhein allot kar diya to maan lijiye ke woh un ki zameen hai. aap wahan ja kar rehte hain to rahiye, woh mana nahi karte aap ko rehne se. lekin ladte kyon hain aap un se? to woh ayat maine padhi un ko to kya kehte hain? woh to mansookh ho chuki hai. kehte hain woh to mansookh ho chuki hai. yeh kya hai? amaani hai. kyunke mansookh ho chuki hai. kahan? kis ne mansookh kiya? woh kaun si ayat hai aur kaun si hadith hai jis se nikalta hai ke mansookh hui woh ayat? kaun si? kaun si ayat bataiye?
1:21:35ya qaum ul kulu aur Allah jo Allah ne likh diya tumhare liye. to kaha ke bible mein jo hai, bible mein hai ke falasteen yahudiyon ke liye promised land hai. bible mein hai ke falasteen yahudiyon ke liye promised land hai. theek hai, yeh to quran majeed mein bhi hai. theek, wahi to musalman, wahi to quran majeed mein bhi hai. to is mani hai ke yahudiyon ko haq hai ke woh ja ke basein falasteen mein. aap rok nahi sakte un ko.
1:22:12baqi aap rokte nahi hain. woh abhi bhi, abhi bhi falasteen mein 20 percent yeh arab rehte hain. to aap rahiye un mein. ladte kyon? un ko nikal maar ke nikalte kyon hain? kyon kehte hain ke hum un ko maar ke phenk den ge? sanarbi fil burr. to kya nikal rakha hai ke woh to, woh to ayat mansookh ho gayi. yeh jhoot hai, yeh jhoot hai, yeh jhoot hai. kyunke aap ko pesh karna parega koi ayat ya hadith ke woh ayat mansookh ho gayi.
1:22:41agar aap nahi pesh kar sakte to aap jhoot bol rahe hain. to sara musalmanon ka jo case hai, sab amaani par mabni hai. amaani sara hai, chahe arab hon ya ajam hon, sab amaani pe khade hue hain. to amaani pe khade hone ka mani hai ke amaani mein jab khada hota hai aadmi to kya karta hai? quran o hadith ka galat interpretation de kar us ko justify karta hai. to is tarah ke justification humein nahi bachaye ga. is tarah ke justification hum bach nahi sakte. Allah taala ki hamari flogging hogi, hum pakad jayenge.
1:23:20maulana, agla sawal dilli se hai shakir sahab ka. unhone likha hai: kya insan marne ke baad foran apne aamal ke mutabiq jannat ya jahannum mein jayega ya phir aakhirat mein faisla hone ke baad