“Quran being a preserved book of God gives us such a lot of conviction. How can we increase this thought in our mind to do better dawa work?”Asked by Naghma Siddiqui, Delhi
maulana, agla sawal delhi se miss naghma siddiqui ka hai. unhon ne likha hai: "quran being a preserved book of god gives us such a lot of conviction. how can we increase this thought in our mind to do better dawa work?" han, yeh to bohat achi baat hai. yani dawa work karne ka jazba is waqt aur badh jayega jab aap samjhen ke main hi woh shakhs hoon jis ke pas preserved book hai aur kisi ke pas preserved book nahin. yeh to bohat bari cheez hai. kyun k jitni bhi mazhab ki kitabein doosri hain, woh sab yaani original form mein nahi hain.
koi bhi kitab nahi. sab mein alteration ho chuka hai, sab mein changes ho chuke hain, sab k historical credibility doubtfull hai. lekin Quran jo hai, poori tarah mehfooz hai. poori tarah woh yaani yaqeen kar sakte hain aap k yeh yeh wohi Quran hai jo Rasool Allah ko Allah taala ne seven century mein diya tha.yeh yaqeen to bohat toofani bana deta hai daai ko k mere paas woh cheez hai jo kis duniya mein kisi k paas nahi.
yeh to aise hi hai jaise k ek aadmi tijarat karna chahta ho aur pata chalay k shehar mein is paas jo item bechne k shehar mein kisi k paas nahi hai. to woh andha dhund ja kar market mein baith jaye ga k mere paas woh item hai jo kisi k paas nahi hai. to to log toot padenge is ko khareedne k liye. to yeh bohat bari mein bataon k yaani yaqeen ka samandar aap k andar aa jaye ga jab aap yeh sochien k kaisa ajeeb hai bara muamla k duniya mein kisi k paas woh kitab nahi hai jis k paas baray mein woh kis kahay k yeh preserved book of God hai, authentic book of God hai, kisi k paas nahi hai.
to jab aap Quran ko le kar uthenge to aap k andar ek athah samandar ka mani dekhen, yaqeen uble ga aur aur bilkul near bila khauf aap kood padenge har jagah aur us ko ja kar logon ko pohnchainge. andar ka yaqeen jo hai aap ka, woh aap ko hero bana de ga. Maulana, agla sawal Andhra Pradesh se aya hai Maulana Abdul Kareem sahib ka
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.