55:56maulana, yeh sawal aaya hai Mr. Tasawwur Hussain ka London se. unhon ne likha hai ke "I wish to ask one question from Maulana sahib as I am writing my thesis and taking guidance from his books and videos. My question is whether ideas shape the material structure of the world or material shapes the ideas and what is the true essence of their relationship?" Kindly comment. bohat dilchasp question hai yeh. yeh Karl Marx ne yeh baat kahi thi ke material halaat jo hain wahi insaan ki soch banate hain, is ka ulta nahi hai.
56:48yani insaan ki soch material halaat nahi banati, lekin yeh to ghalat sabit ho gaya, yeh to ghalat sabit ho gaya, yeh to ek mafrūza tha, ek supposition tha jo Marx aur kuch aur log the is tarah ke jinhon ne is zamane mein yeh aise socha. is ki lambi tafseel hai, ab is waqt to main tafseel nahi kar sakta, lekin meri kitab hai "Marxism Tareekh" jis ko radd kar chuki hai, us mein aap is ki tafseel dekh sakte hain. yani is waqt jab ke Russian Empire poore urooj par tha, peak par tha, tab yeh kitab chhapi thi.
57:41log hairaan the ke Marxism to urooj par hai aur aap kahein ke radd kar chuki hai, kaise? lekin bohat jald logon ne jaan liya ke woh bilkul ek ek shārikh-e-takhayyul tha, ek romantic takhayyul tha, woh jo haq ke haq se koi talluq nahi tha. lekin insani world jo hai, us mein shaq nahi ke woh mind us ko rule kar raha hai, mind us ko control kar raha hai. material world jo hai, insani dimagh ke tabe hai.
58:19yeh baat aakhri taur par ghalat sabit ho chuki hai, magar yeh ek lamba mozu hai, main yahan detail nahi kar sakta is ki. jo sahib ko dilchaspi ho to meri kitab parh sakte hain, woh Marxism Tareekh jis ko radd kar chuki hai. maulana, yeh sawal abhi aaya hai Mr. Riaz Bhat ka Kashmir se , unhon ne likha hai "How Quran can be useful in this contemporary age with atheistic philosophies all around?" yeh abhi ek mafrūzi ki baat hai.
59:02dekhiye, yeh atheism jo hai, yani ilhad, na kabhi ghalib fikr tha, na aaj ghalib fikr hai. yeh to kuch log bolte rehte hain, bas ghalib fikr jo hai, woh insaan ki fitrat hai, insaan ka nature hai, hamesha se aur aaj bhi. asal cheez hai Quran ko logon ne pesh hi nahi kiya. pesh karne ka maani hai ke pesh karna ka matlab yeh nahi ke aap sirf us ko parh ke suna dein. nahi, aap pesh karne se pehle ek us ka ek ek prerequisite hai, woh kya hai ke jis ke samne pesh karein, us ke mind ko parhein.
59:56aap is ke mind ko parhein, tab aap is ke mind ko address kar payenge. pehli baat, yaani jo pre quran jo condition hai, us ko poora nahi kiya. bohat se bohat kisi ne kaha ke quran parh ke suna diya ya tarjuma kar diya, woh kafi nahi hai.
1:00:25jaise mein ek misaal deta hoon, europe ke ek safar mein kisi ne kaha, jis ne quran ko parha tha, ke aap ke quran mein yeh likha hai ke gawahi mein, yaani adalat ki jo gawahi hoti hai, to is mein ek mard ho to do auratein honi chahiye. to unhone kaha, yeh to gender equality ke khilaf hai. to maine kaha ke dekhiye, yeh ain natural hai, kyunke modern research jo hui hai insani mind ke bare mein, to research yeh bata rahi hai ke aurat aur mard ke dimagh mein farq hota hai.
1:01:16mard ka dimagh single focused hota hai, aurat ka dimagh multi focused hota hai, multi focused. abhi bhi ek chand din hue, phir dobara research, ek aur isi tarah ki research aayi hai ke aurat ka dimagh multi focused hota hai, mard ka dimagh single focused hota hai, uni uni focused. to ek waqea hua, witness kya hai, gawahi kisi waqey ki hoti hai. ek waqea hua, aaj mard dekh raha hai, to us ko poora focus us par laga kar dekhega, apni zehni banawat ki bana par. aurat jo hai, uska focus bikhra rahega, to kuch pakar paye, kuch baat na pakar payegi.
1:02:04isi liye do gha rakh diya gaya taake koi ek pehlu agar kisi se miss ho jaye to doosra us ki us ki talafi kar de. yeh quran bhi yeh waja hi batai gayi hai ke agar ek bhool jaye to doosri yaad dilaye. to yeh bilkul it is but natural ke jab insaan ke, yaani natural banawat jo hai, do alag dhang ki hai, to yahi tareeqa bilkul natural hai. to maan gaya woh aadmi, bilkul maan gaya ke aap ka jo hai tareeqa sahi hai. hum galat soch rahe the ke gender equality ke khilaf hai, nahi hai, fitrat ke mutabiq hai. to asal cheez yeh hai ke quran ko logon ne pesh hi nahi kiya.
1:02:52jab pesh nahi kiya to kaise aap keh sakte hain ke use qabool nahi kiya? kaise keh sakte hain ke use radd kar diya? lekin quran ko pesh karne ka matlab yeh nahi ke aap masle misaal bayan karein, uska ja kar ke nahi . aap insaan, aaj ke insaan ko mind ke parhiye, us ki soch kya hai, us ko janiye aur quran ko is tarah pesh kijiye ke woh us ke mind ko address kare. ek sahabi ne kaha tha: "kalim naas ala qadr uqool", yaani is tarah baat kaho ke aadmi ka mind address ho. quran mein bhi yahi baat hai: "kul fil qasam qaul baligha".
1:03:39to quran ko aap is tarah pesh kar ke dekhiye to aap dekhein ke quran aaj bhi ek moajza hai. maulana, yeh sawal aaya hai mr muhammad bashir ka kashmir se. unhone likha hai: "quran ko rediscover karne ke liye rehnuma ki zaroorat hai ya baghair rehnuma ke quran ki rediscovery ho jayegi?"