30:53aah, apa aap kuch sawal lena chahunga. yeh sawal bheja hai miss aisha ne meerut se, aur unhon ne aap se poocha hai ke yeh shatme rasool ka masla itna sensitive kyun hai musalmanon ke liye? iski kya wajah hai? is is ko batayen. shatme rasool ke masle par hum ko janna chahiye ke rasool allah salallahu alaihi wasallam ka tareeqa kya tha, aur aaj hum jo kar rahe hain woh kya tareeqa hai. asal masla yeh hai ke hum rasool allah salallahu alaihi wasallam ke baray mein ghulu mein par chukay hain, extremism mein. rasool allah salallahu alaihi wasallam ki ek hadith aati hai ke: "la tatrooni kama atrat an nasara isa ibn maryam, fa innama ana abdun qoolu abdallahi wa rasooli".
31:36ke mujhe itna na uthao jaisa ke isa ibn maryam ko nasara ne uthaya tha. matlab kya hai? ke hum ko woh maqam na do jo insaniyat ke oper ka maqam hai. ab quran padhein, agar hum to quran mein shuru mein rasool allah salallahu alaihi wasallam ko kaha keh diya gaya tha: "asbir ala ma yaquloon". ke woh log jo kuch kar rahe hain, keh rahe hain, is par tum sabr karo aur un ko achay tareeqay se avoid karo. aaj hum ne kya kar liya hai ke: "aqtil ala ma yaquloon wa la tahjurhum". quran ke agar is ko lein to kya hoga? ke jo kuch woh keh rahe hain, is par un ko qatl karo.
32:32allah ta'ala ne kaha tha rasool allah salallahu alaihi wasallam ko ke sabr karo, aur aaj hum un ko qatl kar rahe hain, aur un ko na chhoden. to yeh case hai ghulu ka. hum ko samajhna chahiye ke hum is qanoon banane ki koshish kar rahe hain ya kuch bhi kar rahe hain, to hum ghulu kar rahe hain, aur ghulu islam ka tareeqa nahi hai, khwah rasool allah salallahu alaihi wasallam ke ta'alluq se ho ya kisi aur insan ke ta'alluq se ho. ghulu islam ka tareeqa nahi hai, yeh hum ko samajhna paray ga. aah, apa yeh sawal hai.