48:07the events, even apparently negative events, are actually the opportunities to avail its nectar. ah doctor doctor sahab, yeh agla sawal Lucknow se hai, Feroz Khan sahab ne bheja hai. ah aap ne zikr bhi kiya tha is ka, ah community work aur dawah work. to un ka sawal yahi hai ke ah aaj bohat sare log community work pe zyada emphasize karte hain, ah as compared to dawah work. to is ke bare mein kuch aur agar aap bata sakein. haan, yeh baat sahi hai. aaj kahin bhi aap chale jaiye, khas taur se west mein agar aap jayen, America ko agar aap misaal len to bare bare idare hain wahan, bare bare Muslim institutions hain jo ke bohat hi bada community work ka kaam karte hain aur isi ko samajhte hain ke yeh Islami kaam hai.
49:10yeh bohat bari ghalat fehmi hai. jaise maine bataya tha ke ek momin ka pehla mission hai dawah, aur dawah ka matlab hai inzar o tabshir, yani insanon ko akhirat ke bare mein ba khabar karna. lekin chunke dawah ka kaam ah aisa hota hai ke is mein koi recognition nahi hota, duniyavi recognition. aap agar kahein ke main dawah ka kaam karta hoon to koi mutasir nahi hoga, balkeh agar aap kahein ke main ah muslim empowerment ka kaam kar raha hoon ya main orphanage chala raha hoon ya main
49:58ah ah ghareeb bachon ka kaam kar raha hoon, yeh sab kaam bhi bohat ahem hain aur rewardable hain, lekin yeh prime mission nahi ho sakta ek momin ka, ek ek is shakhs ka jo Quran peh aur Allah pe yaqeen rakhta ho. to is liye chunke yeh ah dawah ka kaam ek bohat hi mamooli kaam nazar aata hai logon ko, aur doosri baat yeh bhi hai ke dawah ka mizaj nahi bana.
50:26log sare kamon ko, jo bhi kaam hai, jo bhi ah social work hai aur community work hai aur charitable kaam jo karte hain, sab ko log dawah mein jod jod dete hain ke yeh bhi dawah hai, woh bhi dawah hai, halanke aisa nahi hai. dawah to bohat hi specific kaam hai jo paighambaron ne kiya, aur woh yeh tha ke insanon ko Allah ke bare mein ba khabar kiya jaye aur Allah ke takhleeqi mansoobe ke bare mein, creation plan ke bare mein ba khabar kiya jaye. to yahi hai woh kaam jo hamein karna hai aur hamein karna chahiye. isi se akhirat mein inshallah nijat hogi hum logon ki. ji, ah aik do quran ki ayat aur hadith mein parhna chahunga. ji, ah rasool Allah sal Allah alaihi wasallam ke bare mein quran mein do jagah aya hai: "shahid o mubashir o nadhira" ke Allah taala ko ne rasool Allah sal Allah alaihi wasallam ko bheja shahadat dene wala,
51:22basharat dene wala aur aagah karne wala bana kar. yeh surah al ahzab mein bhi hai aur surah al fath mein bhi hai. surah al fath mein is ke aage hai: "li tu'minu billahi wa rasulihi" taakeh aey logon, tum Allah aur us ke rasool par iman lao. to yeh hai, isi ko aik hadith mein misaal ke andaaz mein bataya gaya tha. rasool Allah sal Allah alaihi wasallam kehte hain: "main ne khwab dekha ke farishte aaye, kayi farishte thay, is mein aik farishte ne yeh kaha ke is shakhs ki misaal bayan karo, yeh jo so raha hai, is ki misaal bayan karo." to us ne kaha ke is ki misaal aik aadmi ki hai ke kisi ne aik ghar banaya aur us mein dastar khwan bichaya khane ka, aur aik dawat dene wale ko bheja.