1:06:01molana, agla sawal aaya hai Kupwara Kashmir se Ms Haseena Shafeeq Dar ka. unhon ne likha hai: "main aapse molana sahib yeh poochna chahti hoon ke gharelu auratein kis tarah dawat ke kaam mein participate kar sakti hain? is ke bare mein bataein." dekhiye, dawat ka jo kaam hai, wo koi masnooi kaam nahin hai. rozmarra ki zindagi mein dawat chalti rehti hai. is zamane mein bohat aasan hoga jab ke hum predict press ke zamane mein hain. kitabein chhapi hui maujood hain, Quran ka translation aur doosri kitabein.
1:06:42to har aurat aur mard rakhe apne paas in kitabon ko, aur jahan bhi kisi mulaqat ho, in ko de de. abhi ek khatoon ka telephone aaya tha mere paas, unhon ne kaha ke main ek doctor se ilaaj karti thi, woh woh ghair muslim doctor, woh top ka tha. woh to main us ko quran dekhne mein hichk hoti thi ke woh pata nahi kya samjhe us ko. to ek din main ne, yaani un ka woh ilaaj karne ki jati thi, us ke haan ek din main ne himmat kar ke us ko quran pesh kar diya. to woh doctor, jo bohat hi bara doctor tha, woh khara ho gaya bilkul ke yeh quran hai,
1:07:26aur us ko us ne aise kiya to chup gaya. woh to aap doctor ke paas jate hain, aap shopping ke liye jate hain, yaani tarah tarah se ab family ke log milte hain aap se. jo mile, us ko kitabein dijiye. sab se aasan kaam kitabein dena hai. hamare haan sir, har zaban mein kitabein chhapi hui hain, chhoti bari, har qism ki. to har aadmi apni pocket mein, apne bag mein, apne purse mein kitabein rakhe, aur jahan koi mile, us ko deta rahe.
1:08:03is zamane mein to bohat aasan hai da'wati kaam karna, kyunke hum predict press zamane mein hain. pehlay zamane mein mushkil hota tha ke khud hi khud karna parta tha. ab to kitabein rakhi hain, woh dete rahiye. sab se aasan kaam hai, aap safar mein hain, tab bhi dijiye, kahin bhi hain, dijiye, dete rahiye un ko. maulana, agla sawal srinagar kashmir se hai ah shafi ahmed dar sahib ka. unhon ne likha hai: "what does islam say about dreams and interpretation of dreams?" dekhiye, yeh hadith mein aata hai ke