1:08:26maulana, agla sawal srinagar kashmir se hai ah shafi ahmed dar sahib ka. unhon ne likha hai: "what does islam say about dreams and interpretation of dreams?" dekhiye, yeh hadith mein aata hai ke nubuwat uth gayi, lekin is ka chaliswan darja bhi baqi hai. to khwab nubuwat ka chaliswan darja hai, yaani allah taala khwab ke zariye se aadmi ko batate hain apni mansha. lekin hadith mein abhi aata hai ke khwab ki teen teen shakalain hain: hadith an-nafs, takhfif ash-shaytan, bushra min Allah. yaani ek hai ke aap ne dil ki baat dekh le, aadmi
1:09:20jo dil mein hai, wohi khwab mein aa jaye, woh hadith an-nafs hai. ek yeh hai ke shaytan ka drava, shaytan drave ke taur par khwab dikhata hai, aur ek hai bushra min Allah, allah ki taraf se basharat. to khwab ka jo nature hota hai, khwab ki jo surat hoti hai, us par ghor kar ke aap jaan sakte hain ke teenon category mein se kis category mein aata hai mera khwab. yaani woh hadith an-nafs hai ya takhfif ash-shaytan hai ya bushra min Allah hai. to khwab, yaani hadith mein aata hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam fajar ke baad logon se poocha karte thay ke tum ne koi khwab dekha? kisi ne? phir aap us ki interpretation batate thay.
1:10:02to khwab bohat achhi cheez hai, lekin khwab teri qism ke hotay hain, aur jo pak baz log hain, jin ke yaani pakiza zindagi jin ki ho, to to woh aam taur par achha hi khwab dekhte hain. woh maulana, un ka ek aur sawal hai. unhon ne likha hai: "maulana sahib, do you think that Quran should be interpreted on scientific bases?