1:07:54Maulana, in ka ek aur sawal hai. Unho ne likha hai ke You have written that in Islam politics is a matter of convenience and not a matter of belief. Kindly clarify this. Wahi baat jo maine kaha, convenience ka matlab yeh hai jaise halaat us ke mutabiq hon. Aur ek cheez woh hai deen mein jis ka talluq halaat se nahi, mere apne irade se hai. jaise hi mein irada karoon, fi- الفور mein us ko ikhtiyar kar sakta hoon.
1:08:35Allah ko ek manna, aakhirat ko yaqeen karna, jannat jahannum ko manna, Allah ke creation plan ko manna, jis waqt mujh par khule, usi waqt us ko mein yaqeen kar sakta hoon ke yeh barhaq hai. lekin jab yani jo system hai, jo social taqaze hain, wahan par aap koi cheez naafiz karna chahein toh jab naafiz ho payegi? jab ke log maanein us ko, warna warna kuch bhi nahi hoga. toh yani woh halaat par depend karta hai, jab ke aqeedah ka talluq halaat se nahi, woh aap mere apne irade se hai.