Does extreme purdah emphasis show lack of dawah awareness?
“A Muslim female scholar emphasizes purdah so much that only her eyes are visible. Is not our extreme intensity in a controversial issue a result of our lack of dawah awareness?”Asked by مس سائرہ لطیف, کراچی پاکستان
He answers at 1:33:26 in Sahaba and Muhaddithin 24th · 2 min 13 sec
1:33:26Maulana, agla sawal Karachi Pakistan se hai, Miss Saira Latif ka. unhon ne likha hai: "aik Muslim khatoon scholar, aik Muslim scholar, aik Muslim khatoon scholar hain jo parde par bohat ziyada zor deti hain. yahan tak ke un ke halqay ki alamat ban gayi hai ke un ki sirf aankhen khuli rehti hain. Maulana sahib, kya hamara aik ikhtilafi masla mein itni shiddat karna hamari da'wati shu'oor ki kami ka nateeja nahin hai?" dekhen, da'wat shu'oor ka baat alag hai, lekin yeh masla fiqh ka hai. fiqh mein dekhen, do maslak hain. aik masla hai haq-e-anab ka, aik maslak hai doosre logon ka.
1:34:22doosre fuqaha ne parde ko yahi ahmiyat di hai jis ko waqt aap ne bataya. lekin maslak hanfi jo hai, is mein dekhein, yaani parda to mante hain woh log, lekin teen cheezon ko is se exempt karte hain: wajj o kafain o qadmain, yaani chehra aur yeh haath aur paon. jis ko samajhna ho, us ko to mein do kitabon ka hawala deta hoon, woh parh lein. ek hai Allama Albani ki kitab "hijab hijab al-barah al-muslima" aur doosri jo hai,
1:35:08woh Pakistan ke bohat hi bade maane hue aalim the, Maulana Shabbir Ahmed Usmani. unhon ne Pakistan mein qaraardad maqasid ki qiyadat ki thi. unki tafseer hai, is mein "illa mazahira minha" ke tehat aap parh li jiye. unhon ne yeh baat likhi hai ke anaab ka maslak yeh hai. Maulana, agla ek comment aaya hai, woh Raipur se hai, Miss Shabana ka. unhon ne likha hai ke "today talk was very inspiring.
1:35:40Maulana sahib, thank you for giving us content for thinking every sunday." Maulana, agla sawal hai, ah Doctor, unka naam clear nahi hai.