1:13:10molana, agla sawal hai doctor beejma siddiqi ka dilli se. unhon ne aap se poocha hai: "kindly comment on the reference and the meaning of tabtida abee lahab." tabtida abee lahab. dekhiye, makkah mein jis ko kehte hain yani kamina pan, kamina pan ka kirdaar sirf ek hi tha, abu lahab ka tha.
1:14:00wo to aur log jo the, jaise abu jahal hai, wo sarkashi ki thi. is ne dekhiye, ek ka sarkashi karna, ek ka kamina pan, kamina ban jana mukhalifat mein. to sarkashi bhi buri cheez hai, lekin abu jahal ka naam le kar kahin quran mein bhi nahi aaya hai. dekhiye, abu abu lahab ke bare mein naam le kar bara bataya gaya hai is ko. to is se main jo nateeja pohancha hoon, wo yeh hai ke Allah ki nazar mein kamina pan bohat hi buri cheez hai.
1:14:38sarkashi bhi buri hai, lekin kamina pan is tarah bura hai. kamina pan kya hai? aib lagana, ilzaam lagana, badnaam karna, yani kisi ki ko jo uska character assess karna waghera. main ek misaal deta hoon aap ko: rasool Allah sal Allah alaih wasallam ne abu lahab bhi aap ka chacha tha, abu talib bhi aap ke chacha thay. to rasool Allah sal Allah alaih wasallam ne jab nabuwat mili to aap ne wahan par bulaya logon ko. safa jo jo ek chattan thi, wahan par log ikhatta hue to aap ne dawat di. dawat dene ke baad log khamosh ho gaye, chale gaye. kisi ne mana nahi, khamosh chale gaye.
1:15:23lekin abu talib, wo abu lahab jo tha, abu lahab khara ho ke kya kehta hai? rabb saar saar Allah ama jama'atna ila hadha tera bura ho sara din. isi liye hum ko ikhatta kiya tha. yeh jo hai, yeh yeh kamina pan hai, jhooti mukhalifat. to ek hai sarkashi, ek hai jhooti mukhalifat. to ab yeh surah batati hai ke Allah ki nazar mein jhooti mukhalifat bohat hi buri cheez hai. kamina pan, jhooti mukhalifat, ilzaam lagana, aib aib lagana,
1:16:03be buniyad ek to character assess karna, character assassination. to is surah mein yeh paigham hai, jahan tak main samajhta hoon ke Allah ki nazar mein sarkash bilashuba bura hai, lekin kamina insan is se bhi zyada bura hai. kamina insan ki tareef yeh hai ke aap ki mukhalifat mein jhooti baatein karne lage. yani dekhiye, abu jahal jo tha, mukhalif tha aap ka, kabhi is ne rasool Allah par koi jhoota ilzaam nahi lagaya,
1:16:39kabhi nahi. main ne kitabon mein kabhi nahi parha ke is ne abu jahal, abu jahal ne rasool Allah par koi jhoota ilzaam lagaya ho. lekin abu abu talib jo tha, yeh abu lahab jo tha, wo kamina pan dikhata tha, jhooti baatein aap ke khilaf, ilzaam tarashi, character assassination waghera. to yeh bohat hi bara kirdaar hota hai. to yeh is is is is is is surah mein yahi sabak, isi baat ka sabak diya gaya hai ke is se daro ke tumhara anjam abu lahab ka na ho jaye kahin, agar tum wo tareeqa ikhtiyar karo jo abu lahab ne ikhtiyar kiya tha. molana, agla sawal misster muhammad adil sahib ka hai dilli se. unhon ne likha hai: "molana, aap ne kaha ke Allah ne insan ko do capacities ek sath jama karne ki salahiyat di hai."