1:37:37maulana, agla sawal srinagar se hai mr riyaz ahmed bhat sahib ka. unhon ne likha hai: "dawa'at al allah ke liye well wishing asal hai, lekin aaj kal ke musalmanon mein mad'u ke liye well wishing ka jazba maujood nahi. is ka sabab kya hai, aur is kami ko kis tarah door kiya jaye?" ab main samajhta hoon ke is ki zimmedaar hamare saare rehnuma hain ke subah shaam raat din, jab se printing press aaya hai, tab se khaas taur par yeh baat badh badh gayi hai ke dhoond dhoond kar nikalte hain aisa item: "dekho falan dushmani kar raha hai, dekho falan conspiracy kar raha hai, dekho falan yeh kar liya, falan woh kar liya." subah shaam yahi akhbaron mein chhapta hai, yeh yeh magazine mein chhapta hai, jalason mein is ka charcha hota hai.
1:38:40to yeh jo hain hamare likhne aur bolne wale, yeh asal zimmedaar is ke hain. isi ka charcha kiya unhon ne is daur mein. is ke baad agar charcha karein, yaani achhi baaton ka, to achha zehan banega. to main samajhta hoon ke sab se zyada zimmedaar wahi log hain jin ko main kaha karta hoon: "likhne aur bolne wala tabqa, yeh asal zimmedaar hain." yaani negative baaton ko phailana, positive baaton ka zikr na karna, is ki wajah se yeh sab baatein hain. maulana, agla sawal dilli se hai mr muhammad altafuddin inamdar sahib ka. unhon ne poocha hai ke: "da'i ke khaas sifaat bataein, aur da'i mad'u se start mein kaise baat karein?"