. Mahboob bhai ne Mumbai se likha hai: "Maulana, mera sawal yeh hai ke quran se bepanah talluq qaim karne ke liye hamein kya karna hoga?" is ko wazeh karein. bas dua kijiye aur quran ko parhiye. quran ko parhiye aur dua kijiye. aur sachi baat yeh hai ke jab quran aadmi discover kar leta hai, abhi toh hum sirf tilawat karte hain, tilawat toh talluq nahi paida hota. lekin aap jab ghaur se parhein aur discover karein quran ko toh itni bari bari baatein milti hain ke talluq paida ho hi jata hai.
toh mein samajhta hoon ke ke tilawat, tilawat ke bajaye tadabbur, tadabbur bas yeh karna chahiye. tilawat, tilawat ke bajaye tadabbur. Maulana, yeh sawal Maulana Iqbal Umri ne bheja hai: "quran ka mawzuati mutalea karne se matlab milta hai ya kya tareeqa hai matlab janne ka?"
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.