Maulana Wahiduddin Khan

Thematic Quran study for desired results

“Does studying the Quran thematically give the desired result, or what is the method to know the desired?”Asked by مولانا اقبال عمری

He answers at 11:19 in The Quran · 7 min 10 sec

His answer, in his own words
11:19
Maulana, yeh sawal Maulana Iqbal Umri ne bheja hai: "quran ka mawzuati mutalea karne se matlab milta hai ya kya tareeqa hai matlab janne ka?" bas quran ko tadabbur ke sath parhen aur dua karte rahen. quran ko tadabbur ke sath parhen aur dua karte rahen. yahi tareeqa hai. unhon ne ek aur cheez poochhi hai Maulana aap se, woh yeh janna chahte hain. unhon ne likha hai: "Maulana, aap ne quran ki woh kaun si ayat pai jis mein quran ka matloob mil gaya?"
12:18
yeh to bohat hi, bohat aam sawal hai. main arz karta hoon ke mujhe is quloob al hadees se, is quloob al hadees se, mislan jab maine yeh hadees padhi ke "ittqoo firasat al momin Allah" to is se maine jana ke ke is zindagi ke bare mein Allah rab al alameen ka ek planning hai, uska ek uski thing hai.
13:10
to hamein is ke lihaaz se parhna chahiye quran ko ke Allah rab al alameen ki isi hum thing ko daryaft karen, Khuda ki planning ko janen. to aap jab daryaft karen ge to woh aap ke mind ko pakad lega. yeh jo hai ke "ittqoo firasat al momin" to yeh kisi doosre ke bare mein nahi, khud apne bare mein hai.
13:49
quran ki daryaft apne aap hi aap ko pakad legi, apne aap pakad legi. Maulana, yeh sawal Doctor Sani Hasnain Khan sahib ka hai. logon ka kehna hai ke arabi zaban miftah al quran hai. arabi seekhe baghair quran ko samajhna mumkin nahi. lekin agar aisa ho to arab hazraat quran ke gehre maani samajh lete hain. lekin aksar arab hazraat materialistic lifestyle guzarte hain aur rituals ko follow karte hain.
14:32
mere khayal se yeh bilkul hi baseless baat hai ke quran aur arabi zaban aap khud expert hon to aap quran ko samajh len ge. yeh bilkul sahi nahi hai. quran ke bare mein wahi jo hadees aayi hai, uski zaroorat hai. "
15:02
taahud bil quran". haan, yahi yahi. taahud ke bare mein liptna, quran se liapte raho. kehta hai aap ka matlab hai quran? Maulana, taahud ka matlab hai barabar uski nigrani karte raho, uske paas lage raho, uske paas barabar lage raho. maine ek aadmi ko padha hai, dekha hai, woh Taybah Ustad Maulana Abdullah to
15:44
un ke sirhane hamesha ek kitaab, dictionary rakhi rehti thi. do jild mein ya teen jild mein thi kitaab mein quran ki jo dictionary thi, woh arabi zaban ki. to woh barabar usi ke sochte rehte the, alfaaz nikalte rehte the bar bar bar.
16:23
to un ko main ne paya hai. aur tumhari kisi ko paya nahi. to quran se jitna zyada aap lapte rahenge, utne zyada aap par quran ki maani khulenge. maulana, yeh mu'jam to nahi hai? nahi. mu'jam? nahi, nahi. mu'jam teen jildon mein hai. lughat.
17:08
maulana, yeh hasan bin ali ka qaul hai, hazrat hasan bin ali rasool allah ke nawase: "in min kan qablakum al quran rasail min rabbihim fa kano yatadabbarunahu bil lail yatatafqadoonahu fi an nahar" ke tum mein se pehle jo log the, woh quran ko un ke rabb ki taraf se aya hua rasail ya khat samajhte the. chunanche woh raat mein is mein tadabbur karte the aur din mein is ke baray mein ghor o fikr karte the, is ko khojte the. bas is ka matlab yahi hai ke woh quran se lapte rehte the. main soch raha hoon yeh baat. maulana, aap kisi sahib ka hawala dete hain, woh quran mein kisi doosre hawale se jo jis se hum lapte rehne ka matlab samajh sakte hain ke ghalib ke ashaar ke baray mein woh kehte the ke un ke zehn mein ghoomta rehta hai.
18:12
haan, main ne dekha hai sahib ko. to wohi quran ke baray mein hona chahiye ke quran ke mutabiq ghoomte rahen aap ke. to aap dua mein. maulana, miss roma wani ne likha hai sawal jammu o kashmir se. unho ne likha hai: "subhan allah, do i understand correctly that it is not important how long we take to complete the reading of the quran,
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.