Reason for Unfulfilled Halal Wishes
“What is the reason behind not getting halal wishes fulfilled? Please explain.”Asked by Khushi Khan, Kolkata
He answers at 29:52 in The Quran · 2 min 13 sec
29:52Maulana, Miss Khushi Khan ne Calcutta se sawal bheja hai. Unhon ne likha hai: "What is the reason behind not getting the halaal wishes fulfilled? Is ke bare mein bataen." Kya halaal? Kya wishes? Halaal wishes kyun nahin? Haan, jaaiz wishes kyun nahin fulfill hoti hain? Is ke peeche kya kaaran hai? Kya matlab? Maulana, woh yeh pooch rahi hain ke jaaiz khwahishat jo hoti hain insaan ki, woh kyun poori nahin hoti hain? Aadmi koi jaaiz khwahish karta hai, durust hoti hai, woh poori nahin ho paati.
30:35Kyun nahin hoti hain? To aap is ke liye jo zaroori koshish hai, woh karenge. Aap ko milegi. Free mein to nahin milegi. Free mein to suraj ki roshni mili hui hai. Isi tarah sab cheezen milti hain. Aap is ke liye jo zaroori koshish karen to mil jayengi. Maulana, aksar log dua dua karte hain aur un ke hisaab se woh jaaiz dua hoti hai, lekin woh qubool nahin hoti. To is par yeh sawal aata hai ke woh to jaaiz thi dua, to phir kyun nahin qubool hui?
31:14Nahin, yeh kahin likha nahin hai Quran mein ke jaaiz hai to qubool ho jayegi. Jaaiz hai to qubool ho jayegi, yeh kahin nahin likha hai. Aap ko dua ke har dua ki alag alag sharaait poori karni padengi. Alag alag jaaiz na-jaaiz, woh woh shart nahin hai. Maulana, Hadees mein hai ke jo dua ki jaati hai, agar woh dunya mein nahin mile to aakhirat ke liye zakhira bana diya jata hai. Haan, yeh bhi hai. Lekin bahut zyada aap ko agar aap.
32:05Maulana, agla sawal lete hain. Yeh Mahboob bhai ne bheja hai Mumbai se. Unhon ne likha hai: "Maulana, aisi kaun si baaten hain jo hamein avoid karni hongi jis se hamein Quran se gehra ta'alluq bana rahe?