1:18:34maulana, agla sawal ray pur se hai, mister adri sahib ka. unhon ne aapse poocha hai ke "what will happen to those people who die before god's message reaches them?" ek aalim se poocha gaya tha yeh sawal, to unhon ne mukhtasar jawab yeh diya tha is ka ke "jaisi tabligh, waisa muhasba." jaisi tabligh, waisa muhasba, yani jitna is ko baat pohnchi hai, usi ke lehaz se is ki pakar hogi. jitni baat pohnchi hai, us ko usi ke hisab se is ki pakar hogi. to aadmi agar farz kiya kisi ko kuch nahi pohncha hai, to
1:19:22pakar se bach jaye ga, lekin taraqqi nahi hasil kar sake ga woh. kyunke dekhen, dunya ke mamle mein to har aadmi taraqqi ki rootha hai. har aadmi dor dhoop lagaye hue hai, har aadmi dor dhoop lagaye. koi aadmi mujhe ab tak nahi mila jo dunya ki taraqqi ke liye dor dhoop na kar raha ho. yahan se wahan jana, wahan se wahan jana, yeh karna, woh karna. to jab dunya ki taraqqi ke liye aadmi dhoom machaye hue hai, to aakhirat ke liye kyun woh, yani indifferent ho gaya? to is tarah ki baat se koi shakhs pakar se bach sakta hai, lekin is ko taraqqi mil jaye, aisa nahi hone, aisa nahi hone wala hai.
1:20:05maulana, agla sawal umra abad se hai, maulana iqbal umri sahib ka