25:51jazak allah maulana sahib." iqbal umri sahib ne comment aur sawal bheja hai. unhon ne likha hai: "ehsan ul amal wala kon hoga? aaj is ka application maloom hua." yani self made man banna. self made banne ka matlab jannat ke laiq banna. seerat mein is ki misaal kya hai? maulana, ghar e hira, sulah hudaibiya, kya yeh hai? is ko wazeh karein.
26:32rasool Allah ka to har amal ajjal namuna hai. main samajhta hoon ke rasool Allah ka ek namuna yeh hai, bohat hi basic ke problem ko manage karo. rasool Allah ne makki daur mein, madni daur mein yeh kiya. aap ko bar bar problem aaye, aap ne problem se kabhi takrao nahi kiya, is ko manage kiya.
27:14to problem ko manage karna seekhiye, tab aap woh insaan banenge jis ka chunao kiya jayega jannat ke liye. maulana, yeh sawal bheja hai poland se shahid khan sahib ne. unhon ne likha hai: "in our house everyday arguments occur between the women in every other issue.