Is Emotional Feeling a True Expression of Islam
“A gentleman has written his feeling about a spiritual state. Is this feeling an expression of Islam?”Asked by Abdul Basit Umri, Doha, Qatar
He answers at 49:18 in Surah Al-'Asr I · 4 min 16 sec
49:18Maulana, ye sawal aya hai ab Maulana Abdul Basit Umri ka, Qatar, Doha se. aur unhon ne likha hai: "Maulana, aik sahib ne kaifiyat ke baray mein apna aik ehsas likha. kya ye ehsas Islam ka tarjuma hai?" aur Maulana, unhon ne wo phir detail mein likha hai. jo sahib ne un ko likha tha wo is tarah hai: "aksar log jazbatiyat aur raqat ko hi taluq billah samjhte hain. aur jab ye kam hone lagti hai to khud bhi ibadat mein kami ya tark kar dete hain.
49:58halankay kaifiyat ka hona ya na hona dono azmaish hain. phir Allah ye bhi dekhna chahta hai ke mera banda mere liye ibadat karta hai ya dil ki lazzat o kaifiyat ke liye. kaifiyat to ani jani cheez hai. asal maqsood Allah ki ibadat aur itaat hai. agar ye na ho to kaifiyat ki koi khaas ahmiyat nahi." Maulana, is ke baray mein kuch? nahi, kaifiyat hi asal hai. ye galat baat hai. kaifiyat hi asal hai.
50:35jazbatiyat bilkul doosri cheez hai. jazbatiyat alag cheez hai. misal ke taur par main aik martaba gaya, shia hazrat ki majlis hoti hai, majlis e aza. is mein aik sahib aye, unhon ne Hazrat Hussain ki mazloomiyat bayan ki. mazloomiyat ajeeb o ghareeb tareeqay se mazloomiyat. ab sare log ro rahe hain. ajeeb o ghareeb qism ke alfaaz ka khel tha un ka aur sare ro rahe hain. ye koi kaifiyat nahi hai. ye to ye to aik bilkul doosri cheez hai.
51:14yeh bilkul doosri cheez hai. Billee Graham jo tha, haaye, abhi zindah hai woh. Woh jab taqreer, woh ek waise bedridden hai, jab taqreer karta tha to log rote thay. Woh woh woh woh matloob kaifiyat wali baat nahi hai. Woh ek alag hi cheez hai. Woh alag cheez hai. Woh to aap ko ek Yaani rabbani kaifiyat aur ek jazbaatiyat mein farq karna paray ga. Rabbani kaifiyat ke baghair Islam hi bekaar hai. Woh to form ban jaye ga. Jiss ko aap ne ibaadat kaha, woh to form hai.
51:56Form to nothing hai. Form ki koi qeemat nahi hai. To rabbani kaifiyat hi matloob hai, asal. Warna woh ibaadat aap ki jo hai form ban jaye gi. Lekin yeh jo hazaron rulate hain, woh to taqreer karne ka kamaal samajhte thay. Woh waqti tor par aisa karte hain. Waqti tor par taqreer karein ge, hazar dein ge. Waqti tor par kuch baatein kahein ge, rula dein ge. Woh to ek kartab hai. Yeh ehsaan rulane ka kartab hai.
52:30Woh ek alag hi cheez hai. Rabbani kaifiyat ek alag cheez hai. Rabbani kaifiyat ki pehchaan yeh hai ke aap ke woh kaifiyat ke nateeje mein aap ke andar Allah ki mohabbat aaye, Allah ka khauf aaye, aap ke andar har maamle mein Muwakhzah ko sochein, aap accountability ko. To yeh bohat, yeh jo unhon ne likha, mera zikr bilkul galat baat likhi hai unhon ne. Unhon ne do cheezon ko ek ek kar diya. Yaani woh jo sathi qism ki jazbaatiyat jo hoti hai, jo muqarrir taqreer kar ke paida karta hai, kabhi rulata hai, kabhi hansata hai, woh ek alag hi cheez hai.
53:18Woh to bohat hi third class ki cheez hai. Lekin jo rabbani kaifiyat hai, woh to bohat aala hai. Woh woh to aaj matloob hai. Is ke baghair to deen mein baaz ek farigh ban kar reh jaye ga. Maulana, agla sawal lene se pehle ek comment parhna chahein ge jo Maulana Iqbal Umri ne bheja hai Chennai se aur unhon ne likha hai: "Maulana, aaj mujhe Khuda ki rehmat par sahi imaan aaya.