1:05:31maulana, agla sawal modi nagar se kiya hai bilal sahab ne aur unhon ne aap se poocha hai ke Maulana How can I know whether the dawah work done by me is acceptable to God? abhi to namaz bhi pata nahi ke accept ho ke nahi ho gi. yeh koi sochne ki baat nahi hai. daikhain, dawah ka kaam farz samajh kar kiya aata hai? farz hai to karna hai. warna saray sahaba ko aap parhiye, un ke halaat kitabon mein likhay huay hain. un ko kuch nahi pata tha ke hum jo namaz parh rahay hain woh accept ho ke nahi ho gi. hum jo amal kar rahay hain woh accept ho ga ya nahi ho ga. hazrat umar ka waqia hai.
1:06:19hazrat umar jo yani second khalifa thay aur bohat top most sahaba mein shumar hota hai in ka. to aap jantay hain ke un ko aakhir waqt mein aik aadmi ne khanjar maar diya tha. aur bohat gehra zakhm aaya tha, khoon bhara tha. aur us zamanay mein koi is tarah ke mareez ke liye koi ilaaj ka intezaam nahi hota tha. to beharhal woh bilkul maut ke qareeb pohanch gaye. to un ke betay thay ibn umar, unhon ne abdullah ibn umar, unhon ne apnay zano par uth kar sar rakh diya aur khoon bhara tha.
1:06:57aur kaha ke ke aap ko yani aap ne rasool Allah ka saath diya, aap ghazwaat mein shareek huay, aap ne khilafat aik kaam ko itni zimmedari ke sath anjaam diya, aap ko bara darja hai inshallah. aisi kuch baatein kahin unhon ne. to unhon ne kaha ke a a abdullah, mujhe dhokay mein, mujhe dhokay mein na dalo. yani sari dunya janti thi ke unhon ne itnay achay achay kaam kiye. to unhon ne kaha ke a abdullah, mujhe dhokay mein na dalo, mujhe deceive na kar. phir unhon ne kaha ke main to yahi chahta hoon ke la li wa la alaiyya.
1:07:43la li wa la alaiyya ka matlab mamla barabar sarapa ho jaye. na koi neki, na koi burai. na koi for me, na koi against mein. la li wa la alaiyya. to aap dawah ke baray mein keh rahay hain ke to har amal ke baray mein yahi baat hai. daikhain, yeh sochna hi ghalat hai ke accept ho ga ya nahi. yeh sochna ghalat hai. sochna sirf yeh hai ke kya yeh kaam farz hai?
1:08:16kya yeh quran o sunnat se yeh kaam sabit hota hai? kya is kaam ke baray mein Allah aur rasool ne bataya hai ke yahi karnay ka kaam yahi hai? bas. wahan aap ko agar itminan ho jaye to woh karna hi karna hai. aur kuch sochna hi nahi hai. maulana, agla sawal ludhiyana se kya hai fahmeed khan sahab ne aur unhon ne likha hai To develop art of thinking, one must discover one's weakness.